EK sawal ek inaam !

1= jab ALLAH ne apnai khudaae zahir karnai ka eraada farmaya
....................................to insaan ki takhleeq ki


2= dard e dil kai waastai paida keya insaan ko
.............warna ebadat kai leyai kam na thi karobia:flower:
soory but mujhe apka 1 st answer kuch thik nhi laga bcoz khuda ko apni khudayii zahir karne kiya zarurat...
 
Ibadat k liye farishtay kafi thay. farishton aur insano me 1 bara farq ye he k Insan aik doosray k liye qurbani dete hain.Apne aap pr doosron ko fauqiat dena sirf insani fitrat he.
HAQOQ-UL-IBAAD insani khasa he, farishtay is se aari hain. Har farishta apna apna kam kr raha he aur doosray k kaam me koi madakhlat nei krta na kisi pr koi haq rakhta he, lehaza insani khaasiat aur fauqiat doosron k kam anay me he. Doosron ki khidmat me sari insaniat chupi hui he.

Allah ko razi rakho us ki ibadat say
Nabi pak(Saw)ko razi rakho un ki atayat say
Makhloq e khuda ko razi rakho us ki khidmat say


Khuda Ke Ashiq To Hain Hazaron, Bannu Mein Phirte Hain Mare Mare


Mein Uss Ka Banda Bano Ga Jis Ko Khuda Ke Bandon Se Pyar Ho Ga
fariste sirf allah ki ebaat k liye paida kiyege he ..but inssano ko allah ne ashraful maqluqaat bana kar paida kiya or usko zameen ka waris bhi banaya ....
 
Back
Top