Ghazal Faraz Tujhko Na Aaein Muhabtein Karni

Murtaza

Murtaza

New Member
3
 
Messages
76
Reaction score
33
Points
66
ye kiya ki sab se bayan dil ki haalaten karni

Yeh kya ke sab se bayaaN dil kii haalatein karni
'faraz' tujh ko na aayeen mohabbatein karni

yeh qurb kya hai ke tu saamne hai aur hamein
shumaar abhi se Khudaai ke sa'atein karni

koi khuda ho ke patthar jise bhi ham
chaahein tamaam umr usi kii ibaadatein karni

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayatein karni

ham apne dil se hi majboor aur logon ko
zaraa si baat pe barpaa qayaamatein karni

milen jab un se to mubham si guftagoo karna
phir apne aap se sau sau dafaa hmaqtein karni

yeh log kaise magar dushmani nibaahte hain
hamein to raas na aayen mohabbatein karni

kabhi "faraz" naye mausamon mein ro dena
kabhi talaash puraani rafaaqatein karni
 
Urdu version :)

ahmad-faraz-ghazal.png
 

Back
Top