Hadith Fazaail e Lailatul Qadr

Veer

Veer

Famous Pakistani
Staff member
27
 
Messages
35,543
Reaction score
45,341
Points
3,711
Gunaaho ki Maafi

1) Jisne Is Raat Me Imaan Aur Ikhlaas Ke Sath Qiyaam Kiya toh uske Umar bhar ke Guzishta Gunaah Mauf kardiye Jayenge.


(Sahih Bukhari 660/1 # 2014)

significance-of-shabe-qadar-or-lailatul-qadr.jpg


Tamam Bhalaiyo Se Mahroom Kaun?

2) Hzt.Anas Bin Malik farmatey hai : Ek Martaba Jab Mah-E-Ramzan Aya toh Huzoor
ne farmaya :
Tumhare Paas Ek Mahina Aisa Bhi Aya hai Jis me Ek Raat Aise Bhi hai, Jo 1000 Mahino Se Afzal Hai. Jo Shaks Us Raat Se Mahroom Rah gaya, Goya Tamam Ki Tamam Bhalayi Se Mahroom Rah gaya. Aur Uski Bhalayi Se Mahroom Nahi Rahta, Magar Wo Shaks Jo Haqiqatan Mahroom Hai.


(Sunan Ibne Majah 365/2 # 1781)

Alamaat-E-Shab-E-Qadr

3) Hzt.Ubada Bin Saamit R.a ne Huzoor
ki Qidmat me Shab-E-Qadr ke bare me Sawaal kiya toh Huzoor ne farmaya :
“ Shab-E-Qadr ” Ramzan ke Akhri Ashrah ki Taaq Raatey Yani 21wi, 23wi, 25wi, 27wi Ya 29wi Shab Ya Ramzan Ki Akhri Shab me Hai, toh Jo koi Imam ke Sath Ba-Niyyat Sawaab, Is Mubarak Raat me Ibadat kare uske Tamam Guzishta Gunaah Baksh Diye Jaate Hai !
uski Alamaat me Se Ye Bhi Hai, ki Wo Mubaarak Shab Khuli Hue , Roushan Aur Bilkul Saaf-O-Shaffaf Hoti Hai ! Isme Na Ziyada Garmi Hoti Hai, Na Ziyada Sardi.., Balki Ye Raat Mutaadil Hoti Hai !
Goya Ki Isme Chand Khula Huwa Hota Hai , Is Puri Raat me Shayateen ko Aasmaan ke Sitaare Nahi Maarey Jaatey !
Mazeed Nishaniyo me Se Ye bhi hai ki.., Is Raat ke baad Jo Subah Aati Hai, Us me Suraj Bagair Shu’aoo ke Tulu Hota Hai Aur wo Aisa Hota Hai Goya ki 14wi Ka Chand ! Allah Ne Is din Tullu-E-Aftaab ke Sath Shaitaan ko Nikal ne Se Rok diya Hai !”

(Musnad Imam Ahmad 414/8 # 22829)
 

Back
Top