Ghazal Galay Mila Na Kabhi Chand By Shakeeb Jilali

nizamuddeen

nizamuddeen

Well-Known Pakistani
6
 
Messages
779
Reaction score
1,208
Points
216
galay mila na kabhi chand, bakht esa tha

hara bhara badan apna darakht esa tha

sitaray siskiyaN bhartay thay, ous roti thi

fasana-e-jigar lakht lakht esa tha

zara na mom howa piyar ki hararat say

chaThaKh kay TooT gaya, dil ka saKht esa tha

ye or bat kay wo lab thay phool say nazuk

koe na seh sakay, lehja karaKht esa tha

kahaN ki ser na ki to san-e-taKhayul per

humain to ye bhi sulemaN kay taKht esa tha

idhar say guzra tha mulk sukhan ka shahzada

koe na jan saka, saaz-o-raKht esa tha

(Shakeeb Jalali)

1.jpg
 

Back
Top