Happy 7th Birthday Pakistan Web

Saad Sheikh

Saad Sheikh

Founder
Staff member
11
 
Messages
5,988
Reaction score
15,968
Points
716
Al-hamdulillah, Aaj 15th September ko Pakistan.web.pk kay 7 years complete ho gaye hein :love: Aaj say theek 7 saal pehlay 2010 may is forum ko restart kiya gaya tha, jee haan restart !! bohot kam log yeh baat jantay hein, kya aap jan-na chahtay hein 7 saal pehlay kya huwa tha?

Tou yeh rahi is forum ki sab say pehli post, sab say pehla thread, posted on September 15, 2010 :relieved face:

PostNumberOne.png


jee haan is forum ki tareekh 5 saal aur bhi purani hai.. In fact yeh safar shuroo huwa tha 2005 may aur tab yeh family website Pehchaan kay naam say jani jati thi aur is ka pura address tha Pehchaan.pk :love: phir 2009 may isay Pakistan.web.pk per shift kar diya gaya tha. Bad-qismati say 8 September 2010 ko hard disk failure ki waja say (jis ka zikr oper meri quoted post may huwa hai) sara data zaya ho gaya, saray backup hosting server ki hard disk per hi thay, agar meray laptop may backup save hotay tou itna bara nuqsan nahi hota twitter:teary: is haadsay nay mujhay khoon k aansoo rula diya tha, bohot mumkin tha us waqt main is forum ko restart nahi karta, aap restart ka matlab samajhtay hein na? zero say start.. koi user nahi, aik bilkul empty new forum. Yeh aik bara hi mushkil aur challenging decision tha, us waqt main nay himmat aur hosla nahi haara, ghalti say sabaq haasil kiya...

Girtay hein shahsawar hi maidan e jung may
woh tifl kya giray ga jo ghutno kay bal chalay

aur mayoos honay ki bajaye aik naye azam k saath nayi shuruaat ki :smiling face with smiling eyes: Musalman aik aisi qoum hein jo mushkilon aur pareshaniyon may say aur mazboot ho kar nikaltay hein...

Tundi e baad e mukhalif say na ghabra aey uqaab
yeh tou chalti hai tujhay ooncha uranay k liye !!!

So.. 5 saal pehlay aur 7 saal ab.. 12 saal ka experience... is douran bohot kuch deikha hai bohot kuch khoya aur bohot kuch paya bhi hai... aur bohot kuch seekha bhi hai of course :winking face:

Jo 5 saal ka data zaya huwa tha us waqt 5,550 say kuch ooper user thay aur aaj ki Pakistan.web.pk per 45,000 say zyada user hein. Us waqt 3 lac 50,000 posts thi ab 4 lac 33,000 hein, us waqt yeh just aik forum tha magar ab aik aisa platform hai jis say monthly 2 million visitors faida haasil kartay hein...
  • Pakistan.web.pk laakhon Musalman bachon k islami naam rakhnay may madad kar rahi hein
  • Pakistan.web.pk laakhon logon ko namaz ki accurate timings bata rahi hein
  • Pakistan.web.pk 2012 say ab tak 5,000 k qareeb Urdu novels, books, digests Urdu readers k liye paish kar chuki hai aur aaj bhi monthly digests aur latest novels scan kar k upload kiye jaa rahay hein.
  • Greeting cards service bhi kuch arsa pehlay start ki gayi
  • Pakistan.web.pk aur bhi kayi projects per kaam kar rahi hai jesay k recently Multi-language Dictionary introduce karwayi gayi.
Yeh sab Pakistan.web.pk nay apnay bal botay per kiya hai, baghair kisi financial support k, Pakistan.web.pk nay waqt k saath saath aik large platform ki soorat ikhteyaar kar li hai aur isi tarah is k expenses bhi barhtay gaye hein. Yeh aik bay los kaawish hai, Meray liye yeh mohabbat baantnay aur phailanay ka aik zariya hai, yeh apnay Pak watan k liye kuch acha karnay ka zariya hai, Dunya bhar may mojood Pakistaniyon ko ghairon ki websites ki bajaye apni Pakistan ki website per jama karnay ki koshish hai, Main nay Pakistan k awam ko apna khud ka platform diya hai, hamaray awam kyun ghairon k social media platforms ko mazboot kartay hein? Watan say mohabbat ka taqaza tou kuch aur hi hai. Aa'iye aap bhi Pakistan ki is quality website ka qabil e fakhar hissa banein isay mazboot bana'ein aur meray saath mil kar isay nayi bulandiyon tak lay chalein :smiling face with smiling eyes:

Insha Allah.

Aap sab k liye pyar :love::rose:

-Saad Sheikh

@Recently Joined Users
@Recently Active Users
@Users Love Reading
 

MashahAllah!
Ye safar to bht purana nikla. :)
Lekin khushi hui k ye family itniiii puraaaaniiiii and utniiiii hiiii mohabat bhari hai.
Bht kch likhna chah rhi hn lekin cell se online honay ki wjah se comfort nai hn. InShahAllah jald hee ia bary me dili ahsasat share krn gi.
Very congratulations Saad bhai. Allah apko aisy hee kamyabi se hmkinar krty rhain.
Love u pak web and love u all pwpians. :)
Stay Blessed always.
 
Walaikum Assalam Saad Bhai.
Bht bht Mubarak ho Aapko. Happy Birthday To Pakistan Web And Happy Anniversary Bhai. Sorry for late wish. Main bemar thi bs is liye nahi aye. Well Pakistan web jaisa platform maine aaj tak kahin nahi daikha. Really yahan sab family ki tarah rehtay hain. Allah tala aapko aur pakistan web ko aur bhi taraqiyan daita rahay. Har mushkil se bacahye aapko aur aapki family ko khush rakhay hamaisha. Ameen sum Ameen :flower:
Meri Dua hai ke anay walay saal Pak web aur aapke liye bht ache sabit hon. Humse jo ho sakay ga hum apna contribution dain ge. May Allah bless you always ameen :flower:
 
Pakistan.web.pk is just a second home to me ..... jahan Insan seekha hai agy Bharta hai different discussions main ideas milty hain Aik health environment main rehna is a blessing and Pakistan.web.pk provides all
Sb sy bhar k interaction and cooperation with all members And their positive attitude and response makes you more confident on Pakistan.web.pk so
Happy Birthday Pakistan.web.pk
May you live long and bear all the other social sites one day
InshAllah
 
Back
Top