M
Maria Hussain J
Well-Known Pakistani
4
- Messages
- 140
- Reaction score
- 244
- Points
- 116
har taraf ujli dhanak mausam hua hai barf barf
naddi-nale hi nahin sahra bana hai barf barf
uD rahe hain rui ke gale fazaon mein asir
hai lahu bhi munjamid chehra hua hai barf barf
ek hasina ki siyah-zulfon pe jhaala yun lage
nag kala chhag ke jaise pi gaya hai barf barf
muskurana aise mausam mein kahan aasan hai
honT nile paD gae hain is par hawa hai barf barf
barf ki chadar hai ya phir barf ka hai regzar
dekhta hun jis taraf aalam hua hai barf barf
jab kabhi 'hassas' barfani hawa tan par lagi
yaad aai ganw ki aansu piya hai barf barf
Masood Hassas