Ghazal Hum Ahed_e_mohabbat Se Mukarte Bhi To Kese?

rubPzai

rubPzai

Popular Pakistani
11
 
Messages
5,364
Reaction score
2,560
Points
706
Tujh per koi ilzaam jo dhharte bhi to kese?
Hum ahed_e_mohabbat se mukarte bhi to kese?

Wo shakhs to yak-lakht hi hat jata tha peechhe,
Hum toot k qadmon main bikherte bhi to kese?

Ilzaam ye aata k tujhe bhool gaye thay,
Ae dost! Tujhe yaad jo kerte bhi to kese?

Kia khaak muqaddar se koi hum ko gila ho,
Bigron k muqaddar thay, sanwarte bhi to kese?

Mahroom hi rehte jo tere radd_e_amal se,
Ae jaan! Tere pyaar main marte bhi to kese?

Jeewan he guzaara tha thaperron main jo hum ne,
Hum ab kisi toofan se darte bhi to kese?

Ik paaki_e_daman pe sada naaz raha tha,
Dariya_e_mohabbat main utarte bhi to kese?

Her roz ki zillat bhi gawaara to nahi thi,
Us raah se hum roz guzarte bhi to kese?

Jeene ki saza deti hai, jeene nahi deti,
Duniya! Tera tawaan jo bharte bhi to kese?

Bach ker na nikl paaye saraab ishq se un k,
Doobe thay samandar main, ubharte bhi to kese
 

Back
Top