Ghazal Ishq meiN Ghairat-e-jazbaat ne roaney na diya

sara butt

sara butt

Well-Known Pakistani
I Love Reading
5
 
Messages
639
Reaction score
1,084
Points
176
Ishq meiN Ghairat-e-jazbaat ne roaney na diya
Warna kya baat hai, kis baat ne roaney na diya

Aap kahtay haiN k roaney se na badlaiN gey naseeb
Umr bhar aap ki is baat ne roaney na diya


Roaney waaloN se kaho un ka bhi roana ro laiN
Jin ko majboori-e-haalaat ne roaney na diya


Tujh se mil kar hameiN raona tha, bahut roana tha
Tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne roaney na diya


Aik do roaz ka sadma ho to ro laiN Faakir
Ham ko har roaz k sadmaat ne roaney na diya


Sudarshan Faakir​
 

@sara butt

One word - IMMORTAL ! listen to it by Begum Akhter....she has done justice to this amazing poetry....

Ishq me gairat e jazbaat ne rone na diya Varna kya baat thi kis baat ne rone na diya.

Aap kahte the ki rone se na badlenge naseeb Umra bhar is baat ne rone na diya.
Rone walon se kaho unka bhi rona bhi ro le, jinko majburi e halat ne rone na diya.

Tujhse milkar rona tha bahut rona tha, Tangi e waqt e mulakat be rone na diya.
Ek do roz ka sadma ho to rolen 'fakir' Humko har roz ke sadmaat ne rone na diya.

Wah....

Thank You for sharing...
 
Back
Top