Ghazal Ishq minnat kash E qaraar nahi

sahrish khan

sahrish khan

Star Pakistani
I Love Reading
11
 
Messages
6,924
Reaction score
14,147
Points
736
Ishq minnat kash E qaraar nahi
Husn majboor E intezaar nahi


Teri ranjish ki intehaa maloom
HasratoN ka miri shumaar nahi

Apni nazreN bikher de saaqee
Mai ba-andaazaa E khumaar nahi

Zer E lab hai abhi tabassum E dost
Muntashir jalwa E bahaar nahi

Apni takmeel kar raha hun maiN
Warna tujh se to mujh ko pyar nahi

Charaa E intezaar kaun kare
Teri nafrat bhi ustawaar nahi

Faiz’ zinda raheN wo haiN to sahi
 
Back
Top