Jis Dour Pe Nazaan Thi Duniya...!!( Most Beautiful Lines And Voice Must Listen)


Voice: Safi Ullah Butt

Lyrics:

Jis Doar pe Nazaan thi Dunia
Ab hum woh zamana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasanaa bhool gaye

Monh dekh liaa aainy me
Pr dagh na dekhy Seeny me

Dil aisa lgaya jeeny me
marny ko muslmaan bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasanaa bhool gaye

Agiyaar ka jadoo chal bhi chuka
Hum aik tamasha bn bhi gaye

Duniya ka jagana yaad raha
Khud hosh me ana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasana bhool gaye

Woh zikar haseen rehmat ka ameen
Khty hain jisy Quraan-e-Mubeen

Duniya k liye naye nagmy seekhy
Allah ka taranaa bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasana bhool gaye

Anjaam-e-azaadi kia kahiye
Barbadi hi barbadi hai

Jo dars shah-e-batha ny diya
Duniya ko parhana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasana bhool gaye

Duniya ka ghr Abaad kia
Uqbaa ka magar barbaad kia

Mushkil me Khuda ko yaad kia
Mushkil hui asaan bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasanaa bhool gaye

Aazaan tu ab bhi hoti hai
Masjid ki fizaa me ay Anwar

Jis zarb sy dil hil jaty thy
woh zarb lagana bhool gaye

Jis doar pe nazaan thi duniya
ab hum woh zamana bhool gaye....
boht khoob ....
 

Back
Top