Jisam tarpa khak per tanha Rooh karti rahi safar tanha Nend valo'n ko khabar kya iss ki Kon jaga hy raat bhar tanha Log soe kahi'n band kamro'n mai Chand bhatakta hy dar-badar tanha Sath deta hy kon manzil tak Sath chalti hy rahguzar tanha Shehr ka shehr bujha jata hy Ja raha tha vo apne ghar tanha Ae gham.e.zindagi k raat k chand Dhoond mujh ko nagar nagar tanha Vo jo hansta tha ehl.e.dil pe kabhi Ro para khud ko dekh kar tanha Bhool kar apne husan k aadab Mere dil mai kabhi utar tanha Ye khudao'n ka dor hy iss mai Reh gaya faqat bashar tanha Yad ae hazar shehr mujhe Jab b dekha koi khanda'n tanha Iss bhare shehr mai MOHSIN Anjuman tha koi magar tanha @Recently Active Users
@Ali Akbar The loneliest moment in someone's life is when they are watching their whole world fall apart, and all they can do is stare blankly.