Ghazal Jab kisi ko manana parta hai, Khud se bahir to aana parta hai

Ramish Jaan

Ramish Jaan

Well-Known Pakistani
4
 
Messages
194
Reaction score
189
Points
121
Aslamo ele kum sathio,naik Ghazal ap kibisarto kinazr kar raha ho,n ap ki qeemti ara kaintzar rahe ga waslam Mukhlis Ramish Jaan
jabkisikomanaana1.jpg

jab kisi ko manaana paRta hai
khud se baahir to aana paRta hai...

eyk hum hi nazar nahi atte
raste me zamana paRta he

kya khaien kaise muskurate hain
jab kabhi muskuraana paRta hai

Khud se jo kashmakash si chal nikle
Khud se Khud ko mitana paRta he

tuu nahi to gham-e-jahaan hi sahi
dil kahi to lagana paRta hai

muntazir ho na ho koi ramish
lauT ke ghar to aana paDta hai

Assalam elecum muklis Ramish bhi....
aap ka unwan na hi muja be-had mutasir kiya aor ma is misra ma kho sa gaya... jub kisi ko manana parta ha tu kiya hota ha aak naqsha sa zehan ma bunta gaya aor jaisa aak khani ka khakha sa bun gaya... phir aap ki ghazal ka pehla shair parha tu mera khiayal sahi nikla ka bhot khobi sa bhot gehrahi ma haqiqat ko bayan kiya ha aap na... such ha ka insaan apni ana ko qurban ker ka hi kuch hasil kerta ha... sayad isi ki intiha "Ishaq" ha jis ko hum subah dophar shaam perta aor sunta hain lakin is ka ehsas sa bilkul na ahshan rehta hain... is ka liya is ma utar ker deikna zarori ha aor hum utarna ka liya taayar nahi hain...

Walekum salam Mir bhai ap ki mohabto ka aseer ho,n bhai ap ke yeh alfaz bohat ehmiyat ke hamil hai,n mere liye sada khush rahiye waslam Mukhlis Ramish jaan
 
Back
Top