Ghazal Kabhi Kitabo Main Phool Rakhna By Hassan Rizvi

nizamuddeen

nizamuddeen

Well-Known Pakistani
6
 
Messages
779
Reaction score
1,208
Points
216
kabhi kitabo main phool rakhna, kabhi darakhto pe nam likhna

humain bhi hay yaad aaj tak wo nazar say harf-e-salam likhna

wo chand chehray wo behki baatain, sulagtay din thay, sulagti raatain

wo choTay choTay say kaghzo per muhabbato kay peyam likhna

gulab chehro say dil lagana, wo chupkay chupkay nazar milana

wo aarzowo kay khowab bunnaa, wo qisa-e-na tamam likhna

meray nagar ki HaseeN fizao! kahin jo un ka nishan pao

to poochna ye kahaN basay wo, kahan hay un ka qiyam likhna

gai rutoo main hassan humara bus eik hi to mushghala hay

kisi kay chehray ko subha likhna, kisi ki zulfo ko sham likhna

(hassan rizvi)

1.jpg
 
Back
Top