Nazm Kangan






Tumhary ghar ki chokhat hi tumhary ser ki chadar hay

suno ay larkiyo! Nadaniyaa'n achi nahin hotin.
 

Beautiful poetry....

There is only one person whom we love and there is no alternative of that one...isn't it...
 
Tumhe ik baat kehni hai
Magar naraz mat hona,

K tum jo har ghari mujhko
itna yaad aate ho,

Hume itna satate ho
K hum tum dur hain dono,

Bohat majbur hain dono
Na itna yaad ao tum,

Na yun itna satao tum
K itna yaad aa kar yun,

Hamen pagal bana k tum
Faqat itna bata do k,

Humari JAAN lo ge kya
Magar ye bhi haqeeqat hai,

Tuhmari YAAD hi to hai
Jo har pal sath rehti hai,

Khushi me bhi,ghamon me bhi
Udasi k palon me bhi,

Tuhmari YAAD hi to hai
Jo har pal ye batati hai,

Mujhe ehsas dilati hai,
K
TUM SIRF MERE HO MERE.
 
Pagal wo kar deti hogi
Ab b jab wo hansti hogi,

Muj ko to barbad kia hai
khud bhi shead wo roti hogi,

Arsa bita hai bin dekhe use
jane ab wo kesi hogi,

Us k hath ki rekhon me
Ek rekha meri b hogi,

js din us se milna hoga
Sham b us k jaisi hogi,

Dulhan ban kar wo is dil me
socho kesi lagti hogi,

jin hathon ko maine chooma tha
Unko ab tak takti hogi,

Sun kar mera nam wo shead
Ek lamhe ko chonkti hogi,

janay ab wo kesi hogi
janay ab wo kesi hogi.
 
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra


Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra
 
Kal Halki Halki Barish thi,
Kal Sard Hawa ka Ruqs Bhi Tha.

Kal Phool bhi Nikhray Nikhray Thay,
Kal Un Me Aap Ka Aks bhi Tha,

Kal Badal Kaalay Gehrey Thay,
Kal Chaand Pay Laakhoon Pehrey Thay.

Kuch Tukray Aap ki Yadoon Kay,
Bari Dair say Dil Me Thehray thay,

Kal Yaadain Uljhi Uljhi Theen,
Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Theen,

Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay..
Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay
 
ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum ne​
ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum ne​
ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hum ne​
wo shakhs qyamat tha kia karyn os ki batian​
din os k liyay paida or os ki he thi ratain ...​
kab milta kisi sy tha hm sy thin mulakatin​
rung os ka shahabi tha zulfoon may thin mayhkaryn​
ankhayn thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn​
dushman b ager daykhen tu jaan sy dil haryn​
kuch tm sy wo milta tha batoon may shbaahat thi​
han tm sa he lagta tha shokhi may sharart mein​
lagta b tum he sa tha dastour e muhabat mein​
wo shakhs hmy ek din apno ki tarha bohla​
taroon ki tarha doba pholoon ki tarha tota​
phir hath na aya wo hm ny boht dohnda​
tm kis liyay chonky ho kab zikar tmhara hai​
kab tm sy takaza hy kab tm sy shikayat hai​
ek taza hikayat hy soun loo tu inayaat hai​
ek shakhs ko daykha tha taron ki tarha hum ne​
ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hum ne​
ek taza hikayat hy soun loo tu inayat hai . . . .​
 
Back
Top