Nazm Kangan

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai​
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai​
ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin​
ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai​
barf k roop main dhal jaaenge saare rishte​
mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai​
main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga​
mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai​
regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai​
mujhe maasoom si larki pe taras aata hai​
usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai​
 
Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye​
Dil k ujhrhey huwe gulshan mai bahar aa jaye​
Dil to kehta hai k aankho’n mai chhupa loo’n tujhko​
Aur phir jaisey muqaddar ko nikhaar aa jaye​
dil k zakhmo’n mai merey pyar ka marham rakkh do​
Be qarari mai mujhey, kutch to qarar aa jaye​
yu’n Khuda k liye chhino’n na merey hosh o hawas​
Aisi nazro’n se na dekho k khumar aa jaye​
Chhorh k tum bhi chaley jaogey qismat ki tarah​
Laut aao k khizao’n mai bahar aa jaye​
 

Dil.jpg
 
Back
Top