Digest Khawateen Digest June 2012 PDF

Asalam-u-alaikum dear all

Pakistan.web.pk ka Library section redesign kiya gaya hai aur ab her mah actively Urdu Literature specially Digests and Novels Library may post kiye jaa rahay hein, Veer is silsilay may bohot mehnat kar rahay hein lekin choonkay daily yahan bohot say new user register hotay hein tou unhein Pakistan.web.pk kay mahol ka sahi andaza nahi hota.. last month kay Khawateen Digest thread may kuch users nay yahan k mahol ko na samajhtay huway bad-mazgi peda karnay ki koshish ki, is liye is baar main nay zaroori samjha k new comers k liye zaroori hidaayat post kar di ja'ein, Jo users in ko follow nahi karein gay, Veer ko free hand diya gaya hai k woh un k khilaf fori action lain aur kisi ko yahan ka mahol kharab karnay ki ijazat na dain.

Rules to Follow:
  • Digest purchase kar kay usay page by page mukammal Scan karna aur phir PDF file bana kar upload karna bohot mehnat talab kaam hai aur is may bohot saa waqt bhi lagta hai, Aap ko Thread Starter ka shukriya adaa karna chahiye aur is mehnat ko appreciate karna chahiye. Bohot say user free may download kar kay khamoshi say chalay jatay hein aur aik Like ya Thanks ka lafz kehna bhi pasand nahi kartay, yeh achi baat nahi. Thread Starter ki hosla afzaayi karni chahiye ta k woh is silsilay ko continue rakhain.
  • Digest ya Novel threads may Thread Starter kay ilawa kisi User ko Replies/Comments may Download Link post karnay ki ijazat nahi.
  • Digest kabhi bhi kisi fixed date aur time per Market may nahi aatay, aur different cities may different dates per pohonchtay hein, Digest jab tak market may nahi pohonchay ga yeh kisi tarah say bhi possible nahi k thread may upload ho sakay, is liye apnay comments post kartay huway is baat ko zehen may rakhiye.
  • Pakistan.web.pk aik social aur family website hai, apnay comments may aik doosray kay saath achay ikhlaq aur tehzeeb kay saath paish aa'ein, yahan per kisi tarah ki bad-tameezi ya personal attacks ki ijazat nahi di jati. Apnay comments and discussions may is baat ka lazmi khayal rakhain.
Is thread may in Rules k baray may Comments post na karein, agar zaroori ho tou mujhay Private Message kijiye ga.


Khawateen Digest June 2012 k hawalay say aap k comments ko khush amdeed kehtay hein :)
thanx for providing this facility
 
Back
Top