Khushi ya............................!!!!



Assalam o Alaikum
" Khushi Aur Ghum "

Hum Sabki Zindagi Ke Sath Yeh Do Lafz Zaroor
Chalte Rehte Hain ...... Ek Khushi Aur Doosra Ghum.

Har Insan Ki Zindagi Main Khushiyan Bhi Hain Aur Ghum Bhi Hain .... Per Har Ek Insan Ka In Dono Per Reaction Alag Alag Hota hai ...... Kuch Log Choti Si pareshani Aur Dukh main Haye-Touba macha Dete Hain To Kuch Log Sabr Se Kaam Lete Hain ......... Isi tarhan Khushi Milne PEr Bhi Bahot Se Log Over React Kar Jate Hain Aur Kuch Log Ise Normaly Lete Hue Allah Ka Shukar Ada karte hain ...........

" Allah SWT Khushi Aur Ghum Dono Dekar Hamari Aazmaish Karta Hai "

Aap Bataein Ke Aap Log Kis Tarhan Khushi AUr Ghum Main React Karte Hain ?

Aur Kya Khushi Bantne Se Barhti Hai Aur Ghum Bantne Se Kam Hota Hai ?

Waiting For Ur Replies

Wa'AlykumSalam!Hope so u r getting on well by the grace of Allah Subhanatala :)

"Khushi aur Gham " ...insan key rawayah main felxibility hona chahyie to handle both situationz:) waqat aacha ho ya bura...issi trha sey halaat bhi ussey apney waqat per hi guzerna hota hai ager app ki self main aetdaal ho tou mushkal nahin rehti ...ups n dawnz her kissi ki life ka hissa hein , Allah Tala kabhi dey ker Aazmatey hein, tou kabhi lay ker...jab Uss ki Zaat Nawazti hai tou yeh Daikhti hai bandah kitna Shakir hai Uss k diye ko kis terha sey ber'ta/use hai mutakbir hota hai yaa Aajzii Akhtayar kerta hai, ager lay leta hai bandey keh hasb e mansha nahin nawazta .. so called app ghamgeen hotey ho tou Uss ki zaat daikhti hai Sabir kitna hai ...yeh dono he insan key liye Azmayish rakhtey hein...so Allah Pak her situation main hii Emaan ki stabitlity sey nawazey her zee -o bashr ko /AmeeN ...
 

Very nice reply Silent vice and most welcome here...hope to see more of your views in other threads too...God bless u
 
Absolutely ghum bantne se dil halka hota hai..aur khushian bantne se khud ko taskeen milti hai

As for reacting to both feelings, ghum mein zara space leni chahye ya pihr share karen
Khushi mein shukrane parr ke kuch khushina share ki jati hein aur kuch sirf qareebi logh se
 
Back
Top