Kia laga tha ke khud ko muj main nachor doge

Falak

Falak

Super Star Pakistani
I Love Reading
15
 
Messages
11,348
Reaction score
19,974
Points
1,236
kia laga tha ke khud ko muj main nachor doge
phir hum se poocho ge ghum humare
jab dil bhare ga tu chord do ge

bato Jan'na yehi laga tha

ye be zarar sa jo aik larka
ajzi ka libas orhay
Ghaleez logon main ji raha hai
Baha ke aansoo Atab e ibrat
bohat tassali se pee raha hai

bohat hi chup hai
tu chup rahay ga
Ke Roshni bhi yeh kah rahi thi
Kya ab andhera hi Gup rahay ga

tu aisi sochein Ghulam dil se nikal phainko
agar andhera yahan pe aey
tu oss pe meri yeh woh shaal phainko

woh shaal jana jo hum ne suraj se teri khatir
udhar li thi
woh Shaal jana ke jis main hum ne khizan chupa ke
tumhari khatir bahar li thi

Agar woh phir bhi na peecha choray
tu oss ko kehna
ke muj ko Haider ne yeh kaha hai
ke Roshni ki na fiker kerna

kissi se mera na ziker kerna
main apne hissay ke sare jugnu
tuhare qadmon main daal donga
ke ab andhere ne tuj ko dekha
tu oss ki aankein nikal donga


magar zamana badal chuka hai
Tamam cheezein ko muft li thi
ab tum onka hisab likho
ke main ne likha tha aik safha
tum oss ke badle kitab likho

likho ke kesay sharab chori
likho ke kesay janab chori
likho ke kesay woh wade torde
likho ke kesay yoon apne chorday
likho ke kesay chala tha Haider
likho ke kesay jala tha Haider
likho ke kesay woh chup raha tha
Likho Andhera bhi gup raha tha

Magar yeh likhne ke waste tu
tumhein bhi jalna parega Jan'na
tumhein bhi meri tarha akela
ji ke marna parega Jan'na


Magar yeh tum se kabhi bhi lekin
na ho saka hai na ho sake ga
ke koi bhi ab sach ka peecha
na ker raha hai na ker sakay ga

Tu choro jana sawal sare
faqat tum apna jawab sun lo
mera sara azab sun lo
ke kon hon main

agar tum poocho ge mera shajra
tu ghazanvi ka Oon hon main
kabhi jo latka tha sooli per
wo An-Ul-Haq ka janoon hon main
Kabhi main sab ka jawab de don
Kabhi sawaal E Badoon hon main

Kabhi main cheekhon Bharak Bharak ker
Kabhi sarapa sakoon hon main
Kabhi main Jhailon zamane bhar ko
Kabhi shikasta satoon hon main

Kabhi main parh lon namazein sari
kabhi Faraiz ka khoon hon main

agar safaee nahi yeh kaafi
abhi bhi shak hai ke kon hon main
tu Fariha bhi yeh kah rahi hai
naey zamane ka baghi hon main
sun liya na k kon hon main
baghi tha woh baghi hon main

@Recently Active Users
 
Back
Top