Ghazal Kion Na Ay Dost Hum Juda Ho Jaein By Ahmad Faraz

Asad Rehman

Asad Rehman

Super Star Pakistani
16
 
Messages
13,866
Reaction score
33,100
Points
1,451
kion na aye hum juda ho jaein

to bhi heeray say ban gia pathar
hum bhi kal kia say kia ho jaein

tu k yakta tha beshumar hua
hum bhi tootein tu ja bjaa ho jaein

hum bhi majborion k uzer karin
phir kahin aur mubtila ho jain

hum agar manzlein na ban paye
mazilon tak rasta ho jain

dair say soch mein hein parwanay
raakh ho jain , ya hawa ho jain

ishq bhi khel he naseebon ka
khaak ho jain , kemiya ho jain

ab k gar miltay hum tujh say
esay liptein teri quba ho jain

bandgi chor de he hum ne Faraz
kia krein jab log khuda ho jain


 

Back
Top