Kya Jis Masjid Me Qabar Ho Usme Namaz Jayaz Hai ?

rubPzai

rubPzai

Popular Pakistani
11
 
Messages
5,364
Reaction score
2,560
Points
706
Kya Jis Masjid Me Qabar Ho Usme Namaz Jayaz Hai ?


Kya buzurgon ki Qabar ko masjid bana na wahan ibadat karna jaiz hai,

aaj kal dekha jata hai k takreeban masajid me kisi na kisi buzurg ki qabar hoti hai aur loog usko taazeem karte hain aur to aur wahan fateha aur duayen mangi jati hain issi tarah dargahon ko bhi loog ibadat gaah bana liye hain aur wahan chadhawe chadaren aur mela bhi lagta hai aurton aur mardon ka maqloot hota hai

kya ye sari cheezen shariat me jayez hai,

aaj ham har taraf peete jaare hain har jage dhutkare jaa rahe hain hamari kahin koi khiar nahi kahin izzat nahi kya ye sab khud hamare amaal ka sabab nahi ?

kya hame ye qabron ko us tarah mita na nahi chahiye jis tarah Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam k hukm par hazrat Ali r.a ne mita diya tha

kya ham apni masjidon se in qabron ko saaf nahi karen

kya ham dargahon darbaron ko apni ibadat gaah na banate huye unko khatam na karen



kya koi in sare sawalon ka jawab dega ?
 
First hadith
 

Attachments

  • 52272174au8.jpg
    52272174au8.jpg
    220.1 KB · Views: 47

Back
Top