Kya Larki Talaq Ke Dar Se Zulam Sehti Rahay?

Hafsa Q

"biwi par Islam kahein yeh nahi kehta ke us par uskey susraal walon ki khidmat farz hai. Us par uskey walidein aur sohar ki khimadat fazr hai. Han agar woh yeh kaam khush isloobi se anjaam dena chaheye to de sakti hai, warna us par farz hargiz nahi hai. Jo log apni biwion ko ghar walon ke rehm o karam par choor jatey hein un mein phir doori paida ho jati hai, ."

bilkul sahi ye hamai teaching kai dorana parhaaya geya hai .....agree with u
 

Inaya sis, biwi par Islam kahein yeh nahi kehta ke us par uskey susraal walon ki khidmat farz hai. Us par uskey walidein aur sohar ki khimadat fazr hai. Han agar woh yeh kaam khush isloobi se anjaam dena chaheye to de sakti hai, warna us par farz hargiz nahi hai. Jo log apni biwion ko ghar walon ke rehm o karam par choor jatey hein un mein phir doori paida ho jati hai, I totally agree.




bariaapi, apney kaha ke meine kuch kaun nahi kaha. Here is my point of view
Yeh issue hi Islam ki doori ki waja se khara hota hai. Islam mein achey ikhlaaq, dar-guzar aur mohabbat ki talqeen ki gai hai. Jo ke hamari society mein nhi miltey. Maa baap ko chaheye ke apni beetiyon ki sahi tabiyat karein, jaisa Islam mein bataya gaya hai, sabr karna sikhaien kaun key unhein naslein sawarni hoti hein. Beta hai to ussey bhi Islami tarbiyat dein. Shaadi kartey waqt log taleem deekhtey hein, yeh nhi deekhtey ke isko deen ki samajh kitni hai, larka ho ya larki. Aur yehi waja baad mein aik bara masla ban kar samney ati hai.

Hamari society mein aik maa apni beti ke liye jaisa soocti hai, waisey hi apni bahu ka liye kaun nhi soochti? Yehi farq gharon mein is tarha key masley paida karta hai. Iska hal yeh hai ke apney rawayun ko sudharein. Ghalti aik tarafa nhi hoti, dono qusoor waar hotey hein

Aurat ko Islam ne haq diya hai ke woh talaq le sakti hai, lekin agar soochein to yeh sab se na pasandeeda qaraar diya gaya hai. Talaq ki naubat aye hi nahi agar hum sab ke andar ikhlaaq hun. Dar guzar aur sabar bhi aik had tak hota hai, uskey baad zulm nahi sahey aur agar haq par hai to sahi tareeqey se is mamley ko sujhaya jai. Agar koi rah nahi hai, aur saath rehna mumkin nhi tab talaq ka soocha jai. Susraal waley agar ziydti kar rahey hein to alag ghar ka mutalba bhi is masley ko suljha sakta hai.

sub tarbiyat ki baat kartey hain taleem o tarbiyat zarori hai beshak
per waldein ko b chahye k wo kud ko kardar mein betreen kar lein q k wo bachoo k ideal hotey hain achey unhey follow kartey hain agr wo ruzana subha Quran PAk ki talwat kartey hain tu bachoo mein ye automaticaaly ajaye gi
q broken families k bachey rul jatey hain zindagi apney waldein ki hi wja sirf
sub ka jo farz hai wo ada karein kuloosey niyat k sath haq hilal kamaye kahye khushi q nai un ka muqadar baney gi
 
ye baaaaaat !
zbrdast inaya ..bohot acha ..yahi baat thi magar jumlo aor alfaaz ka intekhab ap ka bht drust hai ...clear cut samjha deya aap ne ye daikh bariaapi ..inaya ne bht acha explain keya ...very g00d
thnx bro.waisay hamari society may ye b bht hota hay k pahlay to bara kaha jata hay k hum foran bahir bula lay gay lekin phr bat khtm shud ho jati hay.meri family may hamaray kzn hay wo saudia hotay hay un ka proposal jb gya to larki k parents nay kaha jb aap hamari bachi k paperz tyar krwa lay gay to hum apni beti aap ko day day gay.idhar paperz tyar udhar nikah r aik hi mah may larki b apnay husband k sath bahir chali gye.
ye method b thek hay
 
Inaya sis, biwi par Islam kahein yeh nahi kehta ke us par uskey susraal walon ki khidmat farz hai. Us par uskey walidein aur sohar ki khimadat fazr hai. Han agar woh yeh kaam khush isloobi se anjaam dena chaheye to de sakti hai, warna us par farz hargiz nahi hai. Jo log apni biwion ko ghar walon ke rehm o karam par choor jatey hein un mein phir doori paida ho jati hai, I totally agree.




bariaapi, apney kaha ke meine kuch kaun nahi kaha. Here is my point of view
Yeh issue hi Islam ki doori ki waja se khara hota hai. Islam mein achey ikhlaaq, dar-guzar aur mohabbat ki talqeen ki gai hai. Jo ke hamari society mein nhi miltey. Maa baap ko chaheye ke apni beetiyon ki sahi tabiyat karein, jaisa Islam mein bataya gaya hai, sabr karna sikhaien kaun key unhein naslein sawarni hoti hein. Beta hai to ussey bhi Islami tarbiyat dein. Shaadi kartey waqt log taleem deekhtey hein, yeh nhi deekhtey ke isko deen ki samajh kitni hai, larka ho ya larki. Aur yehi waja baad mein aik bara masla ban kar samney ati hai.

Hamari society mein aik maa apni beti ke liye jaisa soocti hai, waisey hi apni bahu ka liye kaun nhi soochti? Yehi farq gharon mein is tarha key masley paida karta hai. Iska hal yeh hai ke apney rawayun ko sudharein. Ghalti aik tarafa nhi hoti, dono qusoor waar hotey hein

Aurat ko Islam ne haq diya hai ke woh talaq le sakti hai, lekin agar soochein to yeh sab se na pasandeeda qaraar diya gaya hai. Talaq ki naubat aye hi nahi agar hum sab ke andar ikhlaaq hun. Dar guzar aur sabar bhi aik had tak hota hai, uskey baad zulm nahi sahey aur agar haq par hai to sahi tareeqey se is mamley ko sujhaya jai. Agar koi rah nahi hai, aur saath rehna mumkin nhi tab talaq ka soocha jai. Susraal waley agar ziydti kar rahey hein to alag ghar ka mutalba bhi is masley ko suljha sakta hai.


Ya i know k bv par as such to apnay susral walun ki khidmat farz nai hay but ikhlaqi tor par faraz hay.may is sense may keh rai thi.whi bat hay k agr bv apni sas sussar ko apna maa baap ki tarah samjhay gay r wo log bahu ko apni beti ki tarh to maslay paida hi na hun.jaisay wo chahatay hay k unki beti apnay shohar k sath rahay is tarah wo ye b sochay k unki bahu b un k batay k sath rahay
 
zbrdast !

.but mai chahta hoo wo apnai husband kai sath waqt guzaarai..aisi life ka kia faaeda kai husband saari umar bahar musafar rahai ..aor jab bachai barai hokar job pai lag jaae tab husband aa kar ghar mai baith jaae ....na baito ne baap ka piar daika ,na baap ne bacho ka piar .na husband ne wife aor na wife ne husband ka piar daika ..aor isi doran bacho ki shaadeya bi hojaati hai ..pir bachai apni life mai magan hojaatai hai ..parents ko aksar bemaareya pakar laiti hai ..to wo piar bhara bachpan ,wo muskuraatai din is chooti se family kai sab khatam ...and i think this situation is common in our pathans families
Hona to ye hi chahe k miuan bv sath hi rahin, warna wo hi hoga jo ap ne kaha, bas ye bat magar khud miyan bv k sochne ki hai, un ko khud hi ye sochna chahe k kiya zaroori hai, pesa ye bachon ka sath un ka bachpan,
 
Jo mard shadi kr k bahir chalay jatay hay unhay chahiay k wo apni biviun ko apnay sath rakhay.beshak bivi ka farz banta hay k apnay susral walun ki khidmat kray lekin ye b nai k shohar sari umar bahir rahay r bivi apnay susral walun ki khidmat par lagi rahay.Mard bivi ko apnay liay biah kar laya hayto apnay sath b rakhay na phr .yahan khawand paisay kamnay ki machine bna hua to bv ghr k kam karnay wali machine.husban wife ko ikhata rehna chahiay hay ye kia k ajnabiun ki tarah kuch salun bad kuch arsay k liay mulakat ho jaeyay r bat khtm.This is not fair.
Sahih hai lykin ye fesla to khud miuan bv hi karin gae na un ko sath rahna hai, or1 ko pesa kamane ki, 2sre ko ghar k kam ki machin nahi banna,
 
Back
Top