Inaya sis, biwi par
Islam kahein yeh
nahi kehta ke us par uskey susraal walon ki khidmat farz hai. Us par uskey walidein aur sohar ki khimadat fazr hai. Han
agar woh yeh kaam khush isloobi se anjaam
dena chaheye to de sakti hai, warna us par farz hargiz
nahi hai. Jo log apni biwion ko ghar walon ke rehm o karam par choor jatey hein un mein phir doori paida ho jati hai, I totally
agree.
bariaapi, apney kaha ke meine kuch kaun
nahi kaha. Here is my point of view
Yeh issue hi
Islam ki doori ki waja se khara hota hai.
Islam mein achey
ikhlaaq, dar-guzar aur mohabbat ki talqeen ki gai hai. Jo ke hamari
society mein nhi miltey. Maa baap ko chaheye ke apni beetiyon ki sahi tabiyat karein, jaisa
Islam mein bataya gaya hai, sabr karna sikhaien kaun key unhein naslein sawarni hoti hein. Beta hai to ussey bhi Islami tarbiyat dein. Shaadi kartey waqt log taleem deekhtey hein, yeh nhi deekhtey ke isko deen ki samajh kitni hai, larka ho ya larki. Aur yehi waja baad mein aik bara masla ban kar samney ati hai.
Hamari
society mein aik maa apni beti ke liye jaisa soocti hai, waisey hi apni bahu ka liye kaun nhi soochti? Yehi farq gharon mein is tarha key masley paida karta hai. Iska hal yeh hai ke apney rawayun ko sudharein. Ghalti aik tarafa nhi hoti, dono qusoor waar hotey hein
Aurat ko
Islam ne
haq diya hai ke woh talaq le sakti hai, lekin
agar soochein to yeh
sab se na pasandeeda qaraar
diya gaya hai. Talaq ki naubat aye hi
nahi agar hum
sab ke andar
ikhlaaq hun. Dar guzar aur sabar bhi aik had tak hota hai, uskey baad zulm
nahi sahey aur
agar haq par hai to sahi tareeqey se is mamley ko sujhaya jai.
Agar koi rah
nahi hai, aur saath rehna mumkin nhi tab talaq ka soocha jai. Susraal waley
agar ziydti kar rahey hein to alag ghar ka mutalba bhi is masley ko suljha sakta hai.