Let's Write a Story of a College Girl

(Mass Communication? :p)
Usse taleem jari karne ka shooq tha, lekin job karna bhi thi, money ke liye nahi balke apne hunar ko aur nikharne ke liye, kaun Us ke father aik kamiyaab doctor the, aur woh sirf teen behein thin (gee, doston, ap sab uska introduction hi bhool gaye aur foran ishq ka bhoot sar charha diya tha :giggle:Khair koi nahi )
pehle btana tha na ke father doctor hain, awein he bechari ko Mass Com mein daal dya :(
 
pehle btana tha na ke father doctor hain, awein he bechari ko Mass Com mein daal dya :(

Koi nahi bhaii, apna apna shooq hota hai. Usse Mass Communication mein males se compete karne ka shooq tha, like her mum was an chemical engineer :D Hai na males ke field? so no tension :)
 
Newspaper mein job krtay hoye zara ki mehnat aur kaam se lagan ki bina per sab he usse mutasir thay.
uski zahanat aur qabliyat ki bina per jald he ussay ek mashoor news channel ki tarf se job ki offer hoi.
 
But Zara refused. Usse koi reporter nahi banna tha, woh to logon ko haqiqat se agah karna chahti thi. Jo ke wo kar rahi thi. Uski zindagi mukammal thi aur woh bohat sukarmand thi apne Allak ke. One day usse apni boss ke taraf se message ata hai ke woh us se milna chahte hein office mein. Us ne kabhi apne boss ko nahi deekha hota kaun ke woh country se bahar hote hein (he's not that guy, don't worry :p)
 
Zara ne door knock kya, ijazat milnay ke baad wo pooray confidence ke sath boss ke office mein enter hoi.
behad shandaar se office mein right side pe bookshelf tha jis mein mojood books malik ke umda zoaq ki nishandahi kar rahi thin.
left side pe deewar per Pablo Picasso ki mashoor painting Guernica awaizan ki gai thi. aur bilkul samnay sheeshay ki maiz ke peechay is newspaper ka owner betha tha.....
 
'Come in' bohat hi fast andaaz mein kaha gaya tha, aur phir behes karne ki awazein...
Zara qadam barhati hui table tak jati hai, Shehzad sahab phone pe busy the...
 
Back
Top