Love Respect or Money

Love Respect or Money

  • Love

    Votes: 4 10.8%
  • Respect

    Votes: 30 81.1%
  • Money

    Votes: 3 8.1%

  • Total voters
    37
For me....Respect
Cause:-
Money can be replaced

Love is always possible
kisi ki nazar main ghir ka dobara wo mukam hasil nahi hota

Money ...can't buy love,..but peyar karnay walay ki majboori kharid saktay hain
Money ...cant buy respect , jhooti shan o shokat kharid sakttay hain


RESPECT IS THE BEST
 

Voted=Respect.............. lakin


Respect ki bunyaad kyaa ho ghi? Kuch tu ho gha wahan?

Pyaar orr Dalut donon haen tu izzat bhi ho ghi.

Yani respect ki bunyaad agar hai tu wo haen ye dono hi us ski wajah.

Love kaise mile gha, road pe chalte koi bandha ghale tu nahi parne wala :) kuch tu ho gha bandhe ke pass, na

Dalut ki bunyaad bhi hai orr wo hai bandhe ki kabliyat, usski mehnat.

Mehnat karne walon ki respect iss liye ke wo bohut c khoobyun ke malik hain, warna mehnat nahi karte.

Agar mehnat nahi to paisa nahi na. Love kar ke pachtaey gha:D

Agar paisa nahi tu kuch nahi, kissi ghareeb se pouch ke dekh lein wo kyaa kehaey gha

Teeno points ki aapis mein ghairee rishta daari hai Heer G. Ayk ko chuna shayd ghalt hai.


 
aik cheez kay ajanay sey sara koch nahi ata srf Allah ki zaat aisi ha kay agr osko apna lo tu sab mil jata ha wo shair tu ap nay suna hoga
"tujsey mango ma tujhi ko kay sabhi koch mil jaye.....so sawalon sey yahee aik sawal acha ha"

dunya ma tu respect, love or money sab ki ihmiyat ha, agr Paisa bohut zyada ho or respect na ho tu paisa baykaar ha or ye dono ho love na ho tu ye dono bay matlub hain, yun kehna zyada munasib hoga kay zindagi ka tambu in 3 bambo'on pay kara ha, isma sey aik bi bambu hatayingay tu zindagi ka tambu okar jaye ga. ap afghanistan ki misal lain on logon kay paas muhabat jazba himat bahaduri deen sey muhabat sab koch ha but on logon kay paas paisa nahi jis sey wo new technology kharid sakay, tu ap daikh saktay hain kay bawajood deen sey muhabat kay bawajood bahaduri kay wo nakaam hain or taqatwar qowatain onko badnaam bi kerahi hain on per tarah tarah kay ilzamat lag rahay hain. aik Deeni buzarg nay farmaya tha kay jab tak kesi qom ya kesi fard ki economic halat behter nahi hojati tab tak onkay ikhlaqi aqdaar bi taraqi nahi karti, agr hum aj ki reality ki baat karain tu per paisy ki ihmiyat sab sey zyada ha, paisa ho tu insan muhtaj nahi hota or muhtaji sab sey bari bimari ha ju insan ko ander sey kukla kerdaiti ha oska tashakhus khatam hojata ha, ap agr kholay dimagh sey sochain tu ajkal parents bi os bachay sey zyada muhabat karty hain ju sab bachon ma zyada kamanay wala ho bay shak wo zaheen ho ya na ho ikhlaqi mayar acha ho ya na ho, ab iskay baad ma or kiya misal don? ye wo talkh or na passandida such ha jisko qabool karnay ko dil bi nahi karta but fact is fact.
 
Back
Top