Ghazal Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey

Falak

Falak

Super Star Pakistani
I Love Reading
15
 
Messages
11,348
Reaction score
19,975
Points
1,236

Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab ke aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey


irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum maiN phir aa gaey hum
abhi kha ke Thokar sanbhalney na paey, ke phir Thokar sanbhaltey sanbhaltey​
unhain Khat maiN likha ke dil muztarib hai, jawab onka aaya mohabbat na kartey​
tumhain dil laganey ko kis nay kaha tha, behal jaey ga dil beheltey beheltey​
aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil maiN laga kar to dekho​
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey​
humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai​
kaheeN paa-e-nazuk maiN mooch aa na jaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey​
wo mehmaa.n rahe bhi to kab tak hamaare, hui shamma gul aur na duube sitaare,​
"Qamar" is qadar unko jaldi thee ghar kii, wo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte.




@Recently Active Users
 
@Falak
ZABERDAST allaaaaaa intkhaab.......sis,
Thank u for sharing.....
 

Back
Top