Mere Liye, Mohabbat...?

  • Thread starter Abdullah Bin Nazir
  • Start date
Abdullah Bin Nazir

Abdullah Bin Nazir

Popular Pakistani
7
 
Messages
1,648
Reaction score
3,808
Points
336
mohabbat-pakistanweb.jpg


Assalam o Alaikum!

Me Sachi Mohabbat par aik Kitaab likhne k liye Kosha'n hun, umeed hai k ye mujhe bht Awllaa Maqam tak pohnchay gi. Apne hayalat or Nazriyat ki badolat, me ap se apne chand alfaz bantna chahun ga.

Mene us shakhs ko daikha jo Mohabbat mein dhoka milne k baad khudkushi k raste par gamzan ho raha tha lakin uski soch par me heran reh gya, usk alfaz ne mere rongte khare kar die, k aik esa insaamn jo mout k garhe me kood'ne wala hai itni khoobsorat baat keh skta hai.

"Mujhe 18 saal ho gay is dunya me ay hue me aaj tk apne uss Rabb ki Mohabbat Hasil na kr ska jo Khud bar bar bayan krta hai k me appne bando'n se Mohabbat krta hun, or Raheem o Kareem hun, to aik ese insaan ki Mohabbat me chand dino'n me haasil krna chahta hun, Mosam k sath hi jiski Pasand badal jai hai"

" Ab hum ne un hastiyo'n ki pasand ban'na chor diya hai
Mosam k sath jinki pasand badal jati hai
Or mere Rabb ki pasand kabhi hin badalti"

Aj kal k hamare muashare ne Mohabbat ka nam hi badal dia hai ya phir yr keh skte hain k Mohabbat jesa koi or usool ya Ehsaas ujagar kr diya hai. Kya kuch din ki deewangi mohabbat hai? kya kisi k chehre ko aikh kr Mohabbat ho jati hai? kya kisi k jism ko daikh kr iski taraf mayl hona Mohabbat kehlata hai? Kya Mohabbat siraf matlab naam ki cheese hai? kya dolat se Mohabbat ka nam Mohabbat hai?

Hamare Abba o Ajdad k door mein bhi Mohabbat naam ki koi cheese thi lakin agar us dor ki Mohabbat ka ajki mohabbat se muazna kiya jay to Bohat hi Zayada Faraq nazar ay ga Bohtttt hi zyada faraq...

Mukhtasar se Alfaz mein bs itna kehna chahun ga k zid se ya kisi bhi najayz raste se kisi ko haasil kr lena Mohabbat nhin, balk kisi k dil mein utar jana Mohabbat hai.
Agar Mohabbat na hoti to aaj hum zinda na hote, or Mohabbat to do dilo'n k itthad, pyar, Istiqlal, or hamdardi ka naam hai.

Allah Hafiz
Taalib-e-Dua
 

@Abdullah Nazeer bro ye content tag hen aur yeh author name hen, member name nhi :)
contenttag1.png

ye tag wahan add kiye jatay hen jahan in ki books/writing waghera post hoti hen.
 
Back
Top