Meri Aik Adna Si Koshsh! :)

Kool Kat

Kool Kat

Popular Pakistani
Staff member
Digital Library Staff
I Love Reading
9
 
Messages
4,722
Reaction score
7,406
Points
456
Mohabbat.........! Ek aisa lafz jis sey hamarey muasrey ka shayed hi koi ferd ho jo waqif na ho……laikn kai hai ye mohabbat jis k buhat sey roop hai’n.

Kai mohabbat faqt ksi larkay aur larki kay darmiyan aik relationship hai aur kch b nhi....????

Mai’n us azeem jazbey ko kia naam doo’n jo ek maa’n apney bachoo’n key liye rakhti hey us ki us fikr aur paraishani ko kia naam doo’n jo un key dair sey gher aaney per usey hoti hey aur mai’n ek baap ki us mushaqet ko kia naam doo’n jo wo apni family key liye uthata hey aur kia kisi chirya ko pankha bnd kr k bchana b mohabat nahi’n hai, aur kai kisi ke zakham per merham rakhna mohabbat nahi hai? Kai ksi ka dard mehsoos krna mohabbat me shumar nahi hota?

Agar ye mohabbat hai to aj kay dor me aisi mohabbat q kam hoti ja rahi hey hai? kai aisi mohabbat ka wajood na paid hota jar aha aur aaney waley waqtoo’n mai’n is ko khojny kay liye sehraoo’n ki khak chan’ni ho gi? ya hum bhi is nafsa nafsi kay dor mein khud gharzi ka shikar ho kar is mohabbat kay tasau'ur ko faramosh ker baithai’n ge?

Mjy to lgta hai k wo mohabbat to shaid sirf kitaboon kay safhoon ki zeenat ban kar reh jaye gi ---------Jis me izzat, khuloos aur ahtram bhi shamil hota hey.

Lamha e fikriya hai aaj ki jadid mohabbat, jisko urf e aam mein 'mobaile mohabbat' kha ja skta hai..........chand rupoon kay iwaz limited time ka tag liye mohabbat ya phr timepassing???

Pta nai ye shuru hi q hoti hai? Izzat o namoos ka soda itna sasta kesy ho jata hai, wo bhi us muashary me jhan gairat k nam py rozana najanay kitny katal hoty hen!!!! Lekin is tabahi ka asal zimmadar kon hai bhala?

Mein to ye samajti hun k hum sub hi apni apni jagha is key zim-e-dar hai’n. Modern Technologies ne sb ko itna masroof kr dia hai k wo jo hm parhty thy k Maa r beti behtreen dost hen, Behan bhaiyoon me bht mohabat r be takalufi hai, wo sb to jesy kissa e pareena bn chuka hai. Mothers kay dinners, parties and shoping ne itna hosh ee nai rehny dia k betiyoon k mashaghal per bhi aik nazar dali ja saky. Dads ki business meetings aur un k concerns itny ahem ho gay hen k us k badly Baity jitni marzi akhlaki pasti ka shikar ho jain, fark nhi parta. Shiad isi liye no jawan nasal is nam nihad mohabbat kay mohtaj ho kay reh gay hen jis ki manzil tareeki hai.

Bht azziat o preshani ka shikar ho ker apny dil o dimag mein ubharnay walay ye chand sawal ap sb kay samnay rakh rahi hun k shaid apki taraf sy koi hosla afza jawab pa ker me apni is azziat aur be-chaini sy chutkara pa skun...........!!!!


Talib e Duaa!
 

@Veer @Cute Suman @Imal @Twilight @Kashf
 
Mohabbat Pakezgi ka nam hai Jo is py pura utry wohi pakezgi ki meeraj hai

Too much Nice sharing sis
Ap ny bohat kubsurati sy Alfa ka chunao kiya or aik ehm masly ki taraf nigah ki
Bohat khhob sis khush rahein ameen
 
Bohat hassas baatein likhi hein apne jis ka hum logon ko ab dehan nahi raha!

Mohabbat bohat pakeeza jazba hai, jaisy Noor ne kaha. Isko ganda kar dia gya hai, isko aik ghaleez aur bohat hi sasti cheez bana diya gaya hai.. Jisky hum sab zimmedar hein..
 
@Noor-e-Kainat @Sajjal @Hafsa
bht shukria ap teenun ka shaid ye alfaz mjy hosla den aur apny andar k bht c swaloon ko kalm k zariye bayan kr skun. Agr kheen koi galti kr dn toplz zrur mention ker dena k me bht bari writer to hn nai!! Stay Blessed! :)
 
@Kool Kat ap nay dor e hazir ka aik aham masla bohut khubsurat or pur taseer alfaz ma bayan kiya ha excellent:thumbs up:.
ghor talab baat ye ha kay aisa q hai? jis muhabat ka hum kahanion ma party thy ya buzargo sey suntay thy wo yahan q nahi ha, sab sey pehlay tu ma yahan apni aik nazam reference kay tor per share keraha hon ap ye nazam parhain baqi is aham topic per next post ma apni raye donga.
Bazgasht.gif
 
Back
Top