Ghazal Meri Zindagi to Firaq hai, wo Azal se Dil mein Makeen sahi

Urdu ghazal Meri Zindagi To Firaq Hai Wo Azal Se Dil Mein Makeen Sahi lyrics in Urdu text by Peer Nasiruddin Shah Naseer, Meri zindagi to firaaq hai translation Hindi/roman Urdu
This is my heart favt. poetry....
 

meri_zindagi_to_firaaq_hai.jpg
 
Yeh voh sach hai ke jisse aik jahan maan gya
dar pe aaya jo gadaa ban ke voh sultaan gya
uske andaz e nawazish pe mein qurban gya
nimatein baanta jis samt voh zishan gya
saath hi munshi e rahmat ka kalamdaan gya

tujh se jo phair ke munh jaanib e quran gya
surkh roo ho ke na duniya se voh insaan gya
kitne gustaakh bane, kitno ka imaan gya
le khabar jald ke auron ki taraf dhiyaan gya
mere mawla, mere aaqa tere qurbaan gya


mahv e nazzaara, sar e gumbad e hazra hi rahi
door se sajdahguzaar e sar e waala hi rahi
ru ba ru paake bhi mahroom e tamasha hi rahi
aah voh aankh ke naakaam e tammana hi rahi
Haaye voh dil jo tere dar se pur armaan gya

teri chaahat ka amal zeest ka manshur raha
teri dehleez ka phaira mera dastoor raha
yeh alag baat ke toor aankh se mastoor raha
dil hai who dil jo teri yaad se m`amoor raha
sar hai woh jo tere qadmon pe qurbaan gya

dosti se mujhe matlab na mujhe baiR se kaam
unke sadqday mein kissi se na para khair se kaam
unka shayda hoon mujhe kya haram o dair se kaam
unhein maana, unhein jaana na rakha ghair se kaam
lillahil hamd ke duniya se musulmaan gya

ihtiraam e nabvi daakhil e aadat na sahi
shir e maadar mein aseelon ka najabat na sahih
ghar mein aadab e risaalat ki riwaayat na sahih
aur tum par mere mawlaa ki inaayat na sahih
najdiyon kalima parhane ka bhi ihsaan gya?

baam e maqsad pe tamanaon kay zeenay paunchay
lab e saahil pe Naseer unkay safinay paunchay
jinko khidmat mein bulaaya tha nabi ne paunchay
jan o dil hosh o khirad sab tau madinay paunchay
tum nahin chalte Raza saara to saamaan gya

Tazmeen ba kalam e Ala Hazrat az Pir Nasiruddeen Naseer
 
Mujhe Zindagi Mai Ya Rab Sar-E-Bandagi Ata Ker
Meray Dil Ki Be-Hisi Ko Gham-I-Aashiqi Ata Ker
Teray Dard Ki Chamak Ho, Teri Yaad Ki Kasak Ho
Meray Dil Ki Dharkano Ko Nai Be-Kali Ata Ker
Jo Tujhi Se Lo Laga De, Jo Mujhey Mera Pata De
Meray Ahed Ki Zuban Mai Mujhe Gum- Rahi Ata Ker
Jo Dilon Mai Noor Ker De Wo Hi Roshini Ata Ker
Mai Safr Mai So Na Jaon ,Mai Yahin Pe Koh Na Jaon
Mujhe Zoq-O-Shoq-I-Manzil Ki Hama-Hami Ata Ker
Bari Duur Hai Abhi Tak Rag-I-Jan Ki Musafat,
Jo Dia Hai Qurb Tu Ne Tu Shahor Bhi Ata Ker
Bhari Anjuman Mai Rah Ker Na Hua Aashana Kisi Se
Mujhe Doston K Jhurmat Mai Wo Be Kassi Ata Ker
Mujhe Teri Justo Jo Ho, Meray Dil Mai Tu Hi Tu Ho
Meray Qalib Ko Wo Faiz–I-Dar-Aarfi Ata Ker
 
Back
Top