Ghazal Mery Hissy Main Aa Gaye Q Saraab Sy ..!!

Rawaan hai darya-e-ashk chashm-e-by'aab sy..
Mery Hissy main aa gaye Q saraab sy ...

Waja na pochyae k wehshat'zada kis liye..
Hijar to kher Qurb barha raha hai Iztraab sy..

Hairaan ho raha hai Aks aainy mn apna he
Hm khud sy ho rahy hain Zara lajwaab sy..

Galiaan koochy chooty, chorr de awaargii..
Sudher gya dil , hm hony lagy kamyaab sy..

Ranj-o-alam, veeran yadain, tanhaiyaan
zmany ny diye tohfy behisaab nayaab sy..

Shamma jali to bhrny lagi tareeki bhee
Aag lagy Dil ko, jaan chooty is azaab sy..

Koi widaa ho to muskura k milty hain..
K hm waqif hain bichrrny k aadab sy ...

My own poetry :)
@Sadaf Khan

Belated:
Mashallah Bohot acha likhti hain aap... Apki soch apka tafakkur o tanazzur bohot hee umdaah aur gehra ha... Alfaaz ka zakheera bhi qabil e sataish ha... Apki Fikar ki pukhtagi se hee zameer o zaat ki moafiqat ka b pata chalta ha aur sukhunwari ka b.. Misal k tor par ye sher "Hairaan ho raha hai Aks aainy mn apna he, Hm khud sy ho rahy hain Zara lajwaab sy" Jis pukhtagi se sher kaha gya ha iss se apke zehan ki pukhtagii b ayyaN hoti ha aur sher ki shaistagee aur anokha pan b...
"""Galiaan koochy chooty, chorr di awaargii,,Sudher gya dil , hm hony lagy kamyaab sy"" ab ye sher lelen,, Kehte hain k shair baagi hota ha, to apka ye shair parh k ap par b yahee bat lagoo hoti ha..
Apki shairy ma kaheen abhaam ha to kaheen sadgi b payi jati ha... Kaheen par ameeq o daqeeq ha to kaheen par saalis b ha... Alqissa! ap k qalam ma bohot dum ha, ziada mutalie se mazeed nikhar ajaegee gi inshallah.. Meri taraf se dher saari daad qabool kareN.. Keep writing and sharing... :smile:
 
thank you so much ...
sb sy acha comment meri Islaah k liyae :)
bht bht bht shukria sir :)
 
Back
Top