Nikhri Rangat Tips in Urdu

Status
Not open for further replies.
Heer

Heer

New Member
Invalid Email
11
 
Messages
5,100
Reaction score
7,233
Points
701
NIKHRI RANGAT

Uger aap apny chehry ki rangat ko surakh ,safaid kerna chahty hein to taza podiny ki patiyoon ko pani mein ubaal lein phir pani ko khuly moonh ki botal mein daal ker thundi juga per rukh dein aur rozana suba sawairy chay ki adhi piali k braber pee liya kerein

QABAZ DOOR KERNA
Qabaz ki soorat mein garam doodh mein kusta oil ya desi ghi mila ker pee lein …gay ki lussi mein ajwain pissi huee mila ker nihar moonh pee lein qabaz door ho jay gi
Gundam ki bhussi aik chamuch le ker dhahi mein mila ker khany se qabaz door ho jay ga

PAIT KI BEMARIYAAN
Anjeer badam k saath mila ker khany se pait ki bemariyaan door ho jati hein

PAIT KA DURD
Pait mein durd mehsoos ho to thori si khalis heeng pees ker issay ruee k phahy per rukh naaf per rukhein iss se ruki huee gass nikal jay gi

KHUSHAK KHANSSI
Khushak khanssi mein kaily aur khajoor ko mukhan mein mila ker khana mufeed he

DANTOON KI SAFAEE
Khushak anjeer jula ker iss ki raakh bator-e-munjan istamal kerny se dantoon ka mail our dhuby door ho jaty hein

HICHKI
Hichki aa raee ho to iss ka mujarab illaj ye he k pani mein shukar daal ker iss ka sharbat buna lein ye shaurbat peeny se hichki khatum ho jay gi uger hichki muslsal aa rahi ho to zera si cheeni kha lein hichki khutam ho jay gi

DHOOP MAIN RANG KALA HO JAYE TO
khere ka ras thore se dood main mila kar cotton se hathon aur cehre par lagaen, 15 minute bad sabun se muh dhoo len.rand saf ho jaye ga
lemon ka raas ko rose water main mila kar lagaen to b rang saf ho ga

BAALON KI KHUSHKI KE LIYE
chambeli ke oil main ek lemon ka ras dal kar khoob malish karen 1/2 khentay ke bad sar ko dho len khushki khatam ho jaye gi!!!!!

HONTH(LIPS) SOFT RAKHNY KE LIYE
petrolium jelly lagaen.
rogan-e-badam aur honey mila kar roz lagaen.
balai main lemon ka raas roz mila kar lagaen.
honey main zetoon ka oil mila kar roz lagaen.
rose water main glesren mila kar roz lagaen
 

Status
Not open for further replies.
Back
Top