Ghazal Niyat e Shok Bhar Nna Ja'ay Kahin

@M Shah haha...mn ne to ek shair ka hashar nashar krny ka bola tha..aap ne to puri ghazal ka hi tiyaa paancha kr daala MashAllah :D Dil khush hua :p

wesy aap ne shuru k ashaar pr ghaur nhi kiya.... wahan b buht confusion hai...wesy baat rony tak aa pohnchi hai aur wahan yh b khadsha byaan frmaa rhy hn k kahn mehboob dil se utr na jay....actually un ki niyyat mn fatoor nzr aarha hai mujhe :unsure:
aur mery khyaal mn Nasir Kazmi ki bjaye un k mehboob ko dhaarrai maar ker rona chahye :p
 
Kya itni achi ghazal k sath tafreeh kar rahe ho aap log :p actually is shair me shair me shair se apne emotions control nahi ho rahe pehle shair me to khud ko tasali de raha hai aur mehboob ko dhamki k tu bhi dil se utar sakta hai..
Phir dusre shair me controp khatam huwa aur mehboob k lye concern k tera husan bhi na bokhre..
Phir agle shair me wo apni ek aarzo ka izhar karte hai k kaash aisa bhi ho...
Phir aakhri shair me saare marhalo se guzar kar jab usay pata chala mehboob dhamki se bhi nahi pighla concern ka bhi asar nahi huwa aur aarZoo ka bhi khayal nahi karega to i finally said k aao role...finally he accept the reality ....
 

@Imal ..Lol mehboob ko rona chaheyai haha
Bdw shayar hazraat hamesha mehboob ko zaalim .bai parwah .bai wafa maghroor inhi naamo se nawazta hai ..jabkai bazauqat mehboob ko khabar he nahi hoti k koye pagal aashiq bhi hai uskaa ..ab is mai hum innocent logo ki kya ghalti jo hum se koye yaktarfa na maloom pyar karai :D
 
Back
Top