Pakistan Election 2013: Your Vote For?

Pakistan Election 2013: Your Vote for? Select a Party and Vote

  • PML-N

    Votes: 4 26.7%
  • PTI

    Votes: 10 66.7%
  • PPP

    Votes: 0 0.0%
  • MQM

    Votes: 0 0.0%
  • ANP

    Votes: 0 0.0%
  • PML-Q

    Votes: 0 0.0%
  • JI

    Votes: 0 0.0%
  • JUI-F

    Votes: 0 0.0%
  • PML-F

    Votes: 0 0.0%
  • Sunni Tehreek

    Votes: 0 0.0%
  • None (I will not vote)

    Votes: 1 6.7%

  • Total voters
    15
Status
Not open for further replies.
Saad Sheikh

Saad Sheikh

Founder
Staff member
11
 
Messages
5,990
Reaction score
15,973
Points
716
Pakistan Election 2013: Your Vote for?
  • PML-N
  • PTI
  • PPP
  • MQM
  • ANP
  • PML-Q
  • JI
  • JUI-F
  • PML-F
  • Sunni Tehreek
  • None (I will not vote)
I think ab tak tou aksar log decide kar chukay hon gay k unhon nay kis ko apna Vote dena hai?
So why not share your decision/opinion with us here on Pakistan.web.pk :)

If anyone decided not to vote, please express your feelings, why?
 

i will vote for PML-N :happy:
 
allah kary k pti jeet jaye ameen q k hum ko apna pyara pakistan chahey jo ab bohat bori halat main hain.... pyi k elawa hum ko kesi aur say umeed nahi........
 
waisay ma es bar apna vote cast nai kar sakti. mairi election main duty lagi hovi hai...:( ma
sirf logo ka vote cast karwaon gi...
 
her eligible pakistani per vote ek amaanat ki terha hay jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga. hum sab muslims ki ekdoosrey ki taraf zimadaari hay or Allah Taala humkein is ko nibhaaney ki taufeeq ata karein.....aqmeen or inshallah PTI hi jitey gi. ab qoam khud badalna chahti hay to Allah Taala zaroor hamari madad karein ge. inshallah
 
her eligible pakistani per vote ek amaanat ki terha hay jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga. hum sab muslims ki ekdoosrey ki taraf zimadaari hay or Allah Taala humkein is ko nibhaaney ki taufeeq ata karein.....aqmeen or inshallah PTI hi jitey gi. ab qoam khud badalna chahti hay to Allah Taala zaroor hamari madad karein ge. inshallah
Vote cast karna chahiye is baat say main agree karta hoon lekin muaf kijiye ga aap ki is statement say main disagree karoon ga k "jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga". Kya aap bata sakti hein k Quran aur Hadees may kahan per yeh hukam diya gaya hai k apna vote lazmi cast karo, aur agar inkaar kiya tou khayanat hogi aur roz-e-mehshar hisab dena hoag?
Jahan tak mera ilam hai, Islam may Jamhooriyat ki bajaye Khilafat ko Pasand kiya gaya hai.
Agar kisi kay nazdeek koi vote aur hukmarani ka sahi haq dar aur ahel nahi hai tou being Muslim yeh kahan per laazim kaha gaya hai k woh her soorat kisi Naa-Ahel ko vote karay? aur inkaar ki soorat may roz-e-mehshar saza ka mustahiq thehray ga?
 
khilaafat ke hawaale se hi aap ko example deti hoon. sahaba ke dorr mein log khalifa ke haath per beaat بيعت krte they. matlab wo un ke nazariya ko sahi jante theyor samajhtey they yeh jo karein ge is khitte ki baqa k liye karein ge.
to aaj ke modern or revolutionary waqt mein beaat kerna vote ke braber hi hay. ek muslim ki zindagi mein ek esa leader hona chahiye jis ko wo folllow karey.
ab ager aap yahan per yeh kahein k hamaray leader to HAZRAT MUHAMMAD (SAW) hein to be shak un se bara koi leader nahi ho sakta lekin mulk ko chalaane wala to koi chahiye na isi liye to Allah ke Rasool ne Hazrat ABU-BAKAR (PBUH) ko khalifa banaaya tha.
jamhoori nizaam ki baat krte hein to wo to hota "by ppl, for ppl and to the ppl" hay. ab ager aap apni aqal se yeh find out nahi ker sakte ke kon achaa ya bura hay , or vote cast nahi krte to aap complain krne ka haq b kho dete hein k "is" (winner) ne hamein kiya diya kion k us ko muntakhib krte waqt aap ne contribute nahi kiya tha. yeh ek national and patriotic responsibility hay. ab is ko samajhna hamaara kaam hay.
ager kisi ke nazdeek koi vote or hukmaraani ka haqdaar nahi hay to apne shaoor ke mutaabiq un mein se jo sab se ziaada behter ho us ko vote de dein na ka aap ek perfect hukmaraan ke intizaaar mein apni zimadaari hi na anjaam dein. bein an citizen of pakistan yeh aap ka or mera or sab ka haq hay k hum is ko istimaal karein or apni zindagi mein ek change laane ki koshish karein. apna haqq na chorein and do ur part towards ur country the rest leave it up to ALLAH
baqi aage her ek ka personal point of view or agree ya disagree hone her ek ka haqq hay .
koi baat buri lagey to sorry in advanc. it wasnt being said to u personally dont be offended PLS
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top