Pakistan Election 2013: Your Vote For?

Pakistan Election 2013: Your Vote for? Select a Party and Vote

  • PML-N

    Votes: 4 26.7%
  • PTI

    Votes: 10 66.7%
  • PPP

    Votes: 0 0.0%
  • MQM

    Votes: 0 0.0%
  • ANP

    Votes: 0 0.0%
  • PML-Q

    Votes: 0 0.0%
  • JI

    Votes: 0 0.0%
  • JUI-F

    Votes: 0 0.0%
  • PML-F

    Votes: 0 0.0%
  • Sunni Tehreek

    Votes: 0 0.0%
  • None (I will not vote)

    Votes: 1 6.7%

  • Total voters
    15
Status
Not open for further replies.
Please do not use uppercase letters (Example: UPPERCASE LETTERS) anywhere in the site. This is considered as shouting and being rude in general.
BAAT BOHAT LAMBI HO GAI AGER AAP QURAN YA HADEES KA HAWAALA NA MAANGTE TO I THOUGHT IT WAS UNDERSTOOD AUTOMATICALLY
 
Aap Islami Khilafat aur Angraiz k Nizam e Jamhooriyat ka farq jaan lein pehlay. Yeh dono bilkul alag hein.

Khair, Main nay tou aap say aap ki is statement ka Quran o Hadees say Hawala maloom karna chaha tha, jo aap nay nahi diya.

"jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga".

Kya aap bata sakti hein k Quran aur Hadees may kahan per yeh hukam diya gaya hai k apna vote lazmi cast karo, aur agar inkaar kiya tou khayanat hogi aur roz-e-mehshar hisab dena ho ga?
 

hum log her baat personally kion le lete hein and writting in upper case was an innocent mistake, not something against you
 
BAAT BOHAT LAMBI HO GAI AGER AAP QURAN YA HADEES KA HAWAALA NA MAANGTE TO I THOUGHT IT WAS UNDERSTOOD AUTOMATICALLY
hum log her baat personally kion le lete hein and writting in upper case was an innocent mistake, not something against you
This is my duty sis ji. If anyone break the rules he or she will be warned and requested to follow the rules.
 
hum log her baat personally kion le lete hein and writting in upper case was an innocent mistake, not something against you
Nahi jee personal lenay ki baat nahi hai, I just disagreed with your statement I quoted in above posts.

Aap nay vote dena hai zaroor dijiye per apni taraf say yeh mat kahiye k..
"jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga".

Dua karein Allah Pak hamein baghair hisab k Jannat may bhaij day, nahi tou ham kis kis baat ka hisab dein gay. Agar vote na denay per Allah ko hisab dena hoga tou phir Vote denay per bhi Allah ko hisab dena hoga k jis ko aap nay vote day kar haakim banaya us nay 5 saal may kitnay bay gunahon ka khoon kiya, ghareebon ka pesa loota, musalmano ko bay gunah qatal kiya, zulam kiya, watan ki ezzat aur ghairat ko kaafiron k hath baicha, ghair islami qanoon sazi ki, soodi nizam per mulk ko chalaya (kya sood Allah say khuli jang nahi?).. etc. kya aap nay kabhi socha hai k jis ko vote dena itna zaroori hai us k ghair islami faislon aur muzalim k baray may Allah nay pooch liya tou kya jawab dein gay? is baat ki kya guarantee hai k jis ko vote karein gay woh is mulk may jaari Allah say jang ko band kar day ga aur Allah kay Quran aur Nabi Pak ki Sunnat ko samnay rakh kar Islami Qawaneen banaye ga, Sharee Qawaneen aur Islami Adalti Nizam laaye ga?

Ham sirf Pakistani shehri nahi k vote day k haq-e-raye dehi istemal kar liya, Ham Muslim bhi hein is liye hamein Quran aur Hadees k mutabiq chalnay ki koshish karni hogi ta k Allah ki pakar aur azaab say bhi bach sakein.
 
Taskeen aap ka article, related section may move kar diya hai:
Vote dena Sharee hai ya Ghair Sharee by Aasim Mehmood | Pakistan Social Web

Woh sab baatein meray ilam may hein, per main nay jis baat say disagree kiya us ka jawab us may kaheen nahi.

Point is, agar kisi k nazdeek koi umeed war ahel nahi hai, tou kya zaroori hai k woh tab bhi kisi na ahel ko zaroor vote day? Jab k usay maloom bhi ho k yeh umeed war hukmarani ka ahel nahi, aur hakoomat may aa kar mulk aur islam ko nuqsan pohnchaye ga? Aisi soorat may vote na denay per "khayanat" aur "Allah ko hisab" denay ki baat say main agree nahi karta.
 
Hazrat ALI (PBUH) ne fermaaya, ke aazmaaye hue ko dobaara aazmana himaaqat hay and our beloved prophet Hazrat MUHAMMAD (SAW) ne fermaaya, " k momin ek hi soraakh se doosri bar nahi dasa jaata"

mustaqbil ka haal to koi b nahi jaanta lekin hum apni aqal istimaal kr sakte hein, jo insaan without hakoomat k phenomenal wonders ko ser- anjaam de sakta hay wo Pakistan ke mustaqbil k liye apni jaan b de sakta hay, if we r listening to the news, and debates then I think we all must have heard that PTI ko iqtadaar nahi chahiye, hakoomat mile na mile, wo Pakistan k liye aise hi kaam krte rahein ge but being a Pakistani hum mulk ko sanwaarna b chahte hein, lekin kisi ko chance b nahi dena chahte, yeh to unfair hay phir, I think mulk k in haalaat mein yeh kisi b baa-shaoor insaan ko zaib nahi deta.
jis ko hum apni aqal k mutaabiq achaa or kharaa insaan samjhte hein or us ka nazariya jaante hein, us ko vote karein pls .

na de kr b to vote zaya krna hay wohi de kr ker zaya kr lein.
taake hum Allah ko yeh keh sakein ke Allah jo mere ikhtiyaar mein tha wo mein ne kiya.
 
ager aap dobara se Taskeen ka post kiya hua article read karein to aap ko aap ke her sawal ka jawaab mil jaaye ga , mostly in the starting quotations.
 
Siddra jee, meri aap k sath koi behes nahi hai, aap nay jo baatein likhi hein woh taqreeban theek hi hein lekin jis baat per main nay disagree kiya bas utni hi baat hai. Zaroori nahi hai k her koi aap ki nazar aur soch k meyar say umeed-war ko deikhay aur decide karay k woh sahi haq dar hai ya nahi. Ho sakta hai kisi k nazdeek koi bhi sahi haq dar na ho, tou zaroori nahi hai k woh phir bhi na ahel ko vote day. jahan bhi vote denay ki bat huwi hai wahan yehi kaha gaya hai iman dar, deyanat dar aur muttaqi umeed war ko vote dein, tou agar koi bhi aisa umeed war nahi tou meray nazdeek vote dena zaroori nahi.
 
ager aap dobara se Taskeen ka post kiya hua article read karein to aap ko aap ke her sawal ka jawaab mil jaaye ga , mostly in the starting quotations.
Us article may jin Ulama Hazraat kay Fatawa hein, meray pass aisay fataawa jaat k (15, 15 Jildon per mushtamil) complete sets bhi rakhay hein. Main bohot purana kitabi keera hoon :D khair.. baat itni see hai k aap kisi ko yeh mat kaho k
"jis ne vote dene se inkaar kiya wo pane country k saath khiyaanat kr raha hay or is ka hoisaab use Allah Taala ko dena hoga".
Jab aap ko reasons maloom hi nahi tou aap kisi per yeh fatwa nahi laga sakti. bas itni hi baat hai :)
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top