Pakistan Ki Kahani

Namaal

Namaal

Popular Pakistani
Staff member
Baby Names Staff
7
 
Messages
2,012
Reaction score
6,214
Points
306
Pakistan Ki Kahani
Word Pakistan
Pakistan Ki Kahani Mein
Chaudhry Rehmat Ali Ka Kirdar

Pakistan ka lafz aik alehda Muslim watan ke liye sab se pehley Choudhry Rehmat Ali ne 1933 mein istemal kiya. Us waqt Chaudhry Rehmat Ali Cambridge University ke aik tallib ilm thay. Chaudhry Rehmat Ali ne 28 January 1933 ko “Ab Ya Kabhi Nahi”(Now Or Never) ke naam se aik ketabcha shaya kiya jis mein na sirf aik alehda Muslim Watan ke qayam ki tajweej pesh ki gaye balkey majuza Muslim watan ko Pakiktan ke naam se mousom kiya gaya.

Chaudhry Rehmat Ali nay apni tajweej mein Punjab sey “P” suba Sarhad key Afghanon sey “A” Kashmir sey “K” Sindh sey “S” aur Balochistan sey “Tan” ley ker unko apas mein jor ker “Pakistan” banaya. Iss ke baad ye lafz taizi se maqbol hota chala gaya. Hindustan ke mukhtalif alaqon mein na sirf Pakistan ke naam se tanzemein qaim huein balke “Pakistan” ke naam se akhbarat o jaraed bhi jari kiya gaya pehla resala 1933 mein Chaudhry Rehmat Ali ne Cambridge ( Britania) sey jari kiya jo Pakistan Qaumi Movement ka terjuman tha.

Pakistan Ki Kahani Mein Writer's Ka Kirdar
Hindustan mein haft Roza “Pakistan” June 1936 mein Abbottabad Soba Sarhad sey nikla jis key editor Syed Ghulam Hussain Shah Kazmi they.

1937 mein Punjab key Maulvi Ibrahim Ali Chushti ney “Tehreek e khilafat Pakistan” shuru ki aur iss hawaley sey aik skeem pesh ki. 7 Augusst 1937 ki Nawab Ahmed Yar Khan Daultana ney apney aik mazmon mein ye kiyal zahir keya key Congress ki policies ka natija yaqinan Pakistan ki sorat mein baramed hoga.

September 1937 mein Punjab Muslim Fedreation Lahore ney alan keya key shumal Magrabi alaqon mein Pakistan key qayam key lea talba jaddojahad karain. June 1938 mein Lahore key chand Muslim naujawano nay aik tanzeem “Majlis e kabir Pakistan” key nam sey qaim ki.

Pakistan key nam sey dosra resala Qanoon saz Assembly key rukun aur maroof sahafi o shayar Maulana Farooq Dewa Gorakhpuri (professor Majnun Gorakhpuri key walid) ney January 1939 mein Lakhnow sey jari kiya ye bhi haft roza tha.

Hyderabad Dakan mein Muslim league key zair ahtemam 20 May 1939 ko aik confrance munaqid huwa tha. Iss mein Maulvi Mohammed Farooq Dewana Gorakhpuri ney ba hasiat Sadar taqrer kertey huye Choudhary Rehmat Ali ki skeem per roshni dali aur unki taqreer key dauran samayein barabar "Pakistan Zindabad" key narey buland kartey rahey.

"The times London" kay Hindustan mein Moqeem Nama Nigar ney December 1938 mein apney aik mazmoon mein likha Hindustan kay Musalman Pakistan chatey hain. 29 January 1939 ko Sir Abdullah Haroon ney apni aik taqreer mein kaha: Hum Pakistan chahtay hain, 1939 hi mein Pir Ali Muhammed Rashdi nay bhi kaha key “Ham Pakistan chahtay hain, 24 March 1939 ko MS Tusi ney "Ay Pakistani” kay naam sey Eastern Times Lahore mein aik mazmoon mein likha key Hindustan key shumal magrib mein aik Muslim rayasat “Pakistan” kay naam sey qaem ki jani chaeay. 18 November 1939 ko Raja Ameer Ahmed Khan Af Mehmood Abad ney Asam subai Muslim Leag conference sey khetab kertey huey kaha key “Ham Pakistan chatey hain.
 

Back
Top