Peer-E-Kamil Vs Jannat Kay Pattay

Which one is your favourite novel?


  • Total voters
    29
Dono hi bohat shandaar novels rahay.... Kisi aik ko dusray say compare nahi kia ja sakta qiun k har cheez ki apni aik alag haqiqat hai, Isi tarha ye dono novels apny ander alag alag raaz samaitay huy hain, Raastay do alag hain lekin manzil to aik hi... Peer-e-Kamil Sallallao Alaihi wa'alihi wasallam taqreeban Ishq-e-Muhammad Sallallaho Alaihi wa'alihi wasallam par based hai jab k Jannat ke Pattay ka main context to Parda hai lekin is novel may parhny walay ko har topic mil jata hai aur sekhny walay ko to dono novels may bohat kuch sekhny ko mila..

To kisi aik novel ko dusry par foqiat dena to mushkil hai.. :)
Han lekin Ab bhi Jannat ke Pattay k bohat se iqtibaas zehn may rehtay hain jab k Peer-e-Kamil may aisa kam hota hai, harf ba harf yad nahi rehta.. :sad:
 

bohat acha thread ha @M Shah
dono e lajwab han ,
Peer e Kamil( S.A.W) js ne parhne walon k dil mei ishq e haqiqi ki trap jaga di, no doubt m sure js ne parha bohat kuch seekha , samjha ,
Janat k patty, bazahir sedhi c ek khanai lagti ha shuru mei lakin kaise bina ksi lambi daleelon k sb kuch clear kr dia islam mei pardy ki ehmiat ko bayan kr dia, jeene ka saleeka sekha dia k jeeo tu aise k hum Allah ko ache lage na k dosron k ly Allah ko naraz kren, nafsi khawahishat ki daur se nikl k srf ek Allah ki khusnudi hasal krne k ly jo b kren kr jaen, sath e sath watn ki muhabbat mei watn k ly kuch krna b sekhati ha,
no doubt dono best ha , ek zindgi ka asal maqsad samjhati ha tu dosra jeene ka saleeka kaise duniya ar akhrat ko sath le k jeena ha , duniya k ly akhrat nah bholni,
ma sha allah ..it means aap ne porai dil se ye dono novels parai hai ..bus ALLAH in par amal karnai ki tofeeq ata farmaaey !
 
baat peer e kamil (S.A.W) ki ho k jannt k pty ..dono ki popularity aur achaa hony ki nishani yhi hai k dono novels nai prhny waloon ki twjo akhir tk khainchi..hr episode k baad intizaar rhta tha k kb month ovr hoo aur new episode dekhny ko mily.. both novels awsome thy .. bohat seekhny ko mila.. mery dhair sarry questions k ans i got.. peer e kamil(S.A.w) , jaanat k pty,raja gidh enko jtni dfy prha jaya , hr baar new cheesain grasp krny ko mlti hain...
wahh behtareen baat keh di aap ne "jaanat k pty,raja gidh enko jtni dfy prha jaya , hr baar new cheesain grasp krny ko mlti hain.." point to ponder !!! jazakallah sis :)
 
Dono hi bohat shandaar novels rahay.... Kisi aik ko dusray say compare nahi kia ja sakta qiun k har cheez ki apni aik alag haqiqat hai, Isi tarha ye dono novels apny ander alag alag raaz samaitay huy hain, Raastay do alag hain lekin manzil to aik hi... Peer-e-Kamil Sallallao Alaihi wa'alihi wasallam taqreeban Ishq-e-Muhammad Sallallaho Alaihi wa'alihi wasallam par based hai jab k Jannat ke Pattay ka main context to Parda hai lekin is novel may parhny walay ko har topic mil jata hai aur sekhny walay ko to dono novels may bohat kuch sekhny ko mila..

To kisi aik novel ko dusry par foqiat dena to mushkil hai.. :)
Han lekin Ab bhi Jannat ke Pattay k bohat se iqtibaas zehn may rehtay hain jab k Peer-e-Kamil may aisa kam hota hai, harf ba harf yad nahi rehta.. :sad:
sharp mind !! :)
very good analysis sister ..
behtareen line "ye dono novels apny ander alag alag raaz samaitay huy hain, Raastay do alag hain lekin manzil to aik hi."
khush raho !! :)
 
@M Shah
both novels r master piece
I love junnut k pattay the most
and mushaf also...
I will give a detailed answer..
 
Dono hi novels master pieces hy.Dono novelz ki tareef k liay ilfaz ni hy.Peer e kamil my Khatm e nabbuvat k topic ko lia gya hy r Jannat k pattay novel my guide kia gya hy hm kaisay jannat k pattay ko tham kr jannat my ja sakty hy
 
Back
Top