Phir Sy Karni Hai Humein Mohabat Eik Baar...!!

urdu-poetry310.png
 

bilkul theek kaha Erum.:flower:
mohabbat tu hoti he rishton se hai.... jab 2 logon ke darmyan koi rishta he nahi hai tu mohabbat kese ho sakti hai?
Mohabbat jesa paak jazba hotels, parks, universities, facebook aur late night call packages ke zareye nahi phelta, yeh behad pakeeza jazba hai jo ALLAH ussi waqt dil mein utarta hai jab wo aapko Apne bnaye rishton ki dor se jorta hai.
agar in sab ki bat hoti hay emaa to mhbt to kabi b kahi b kisi say b ho sakti hay.. laiken saf nisat say ki jay.. time pass k irady say bat karny say kabi mhbt nai hoa karti.. 4 din ki chat say kuch affection jo ho gye usay log mhbt samjh bethty hain phr jab dil bhar gya 1 ka to chor diaa wo dosraa rota pherta hay aur anjam bewafa mhbt bewafa mhbt lagaty rahty hain.. !!!
 
agar in sab ki bat hoti hay emaa to mhbt to kabi b kahi b kisi say b ho sakti hay.. laiken saf nisat say ki jay.. time pass k irady say bat karny say kabi mhbt nai hoa karti.. 4 din ki chat say kuch affection jo ho gye usay log mhbt samjh bethty hain phr jab dil bhar gya 1 ka to chor diaa wo dosraa rota pherta hay aur anjam bewafa mhbt bewafa mhbt lagaty rahty hain.. !!!

bilkul... isileye tu hum kehtay hain ke qasoor tu bas logon ka hai... mohabbat barhi masoom hai :happy:
 
aray kis ne kaha ke aap na samajh hain, yeh tu mein he aapko samjha nahi paa rahi :sorry:
aaj kal har thread mein Wanderer ki kami boht mehsos ho rahi hai :(

haha main agayi .. aap bilkul theek samjha rhe hain..:)
Rishton ki qadar Muhabbat k zariye hi aati hai..
aur insaan ka sub sy anmoltaaluq is dunya sy yehi rishtey hi to hain jin ki wajah sy hume is dunyamein bheja jata hai werna hmari to na paidaish na mout kuch bhi apny haathmei nhe..

Laai hayat aai qaza ley chali chaley!
apni khushi aaye na apni khushi chaley..

Ab itne bhi nasamajh nahi hein hum :cautious: waqt pe choorne ka yh matlab hargiz nahi ke mein mohabbat ki hami hun

liken Hafsa bhi theek keh rhe hain,
muhabbat ki wajah sy bht jagah bht si wujuhaat per logon ko nuqsan hotahai..
liken hafsa agar hum apny sochny ka zaaviya was'ee karen to andaza hoga.,, k hum Muhabbat ko Jazbaat Umeeden Wabistagi in tamam Mehsoosaat sy Jorr dety hain. Jab k Muhabbat to Khud ik Alag dunya hai mawarai Dunya, us mein in tamam schoolof ythoughts ya In tamam rawaiyun ki bilkul gunjaish nhe.. Hum jazbaat mein koi faisla krtey hain aur smjhty hain k muhabbatmein kia hai.. woh muhabbat to hoti hi nhe.. sirf humari apni Jazbatiat , jo sirf hume khushi deti hai.. agar hum Muhabbat k zariye koi faisla karen to woh kabhi bhi Humarey apny lyh nhe hoga balkey humesha Doosrey k lyh hoga, phir na hum Umeed bandhengy aur na hi Wabistagi.. ye sub sirf Hume Khud ko Taskeen deti han,, jab k Muhabbat to hai hi Jalny ka naam.. JO jalta hai wohi to Roshni deta hai naa tophir hum Roshni ki existance ko Ignore kesay karen?? aap bataye? :) :inlove:
 
Back
Top