Quotes Of Hazrat Ali (Ra)


Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy...
HAZRAT ALI ( Razi Allah Talah Anho )

 


Dunya Bud- tareen hoti ja rahi he,
Bure logon K zyada hone ki waja se nahin?
Balke Achhe logon ki KhaMoshi ki Waja se.

Hazrat Ali . R.A ...

"Jo Eman Tumhein Bister Se Utha kar Masjid Ya Musalle Tak Nahi Le Ja Sakta,
Woh Jannat Tak Kaise Le Jaye Ga."

Hazrat Ali . R.A ....

Aise shaks se bacho k jab tum us se baat karo to wo tumhe Pareshan kar de aur jab wo tum se baat kare to tumhe ghamgeen kar de...

Hazrat Ali . R.A ...

‎" Kamyabi hoslo se milti hai Hosle dosto se milte hai Dost muqaddar se milta hai or Muqaddar insaan khud banata hai "

Hazrat Ali . R.A .....

"Itne mithe na bano K duniya tumhe nigal jaye or itne kadway bhi na bano ke duniya tumhe thook de .

Hazrat Ali . R.A ....


 


Insaan duniya mein is qadar mashghool hota hai ke ussey pata hi nahi chalta ke kis kaprey se us ka kafan bana hai woh bazaar mein a chuka hai​
 

tum kisi ko chaho aur wo tumhain thukra dey to ye uss ki bad nasibi hai.or uss key baad tum uss ko zabardasti apnana chaho to ye tumharey nafs ki zillat hai.

HAZRAT ALI (R.A)


 

Hazrat ALI(A.S) Se sawal kya gya k Namaz me 2 sajde Q hen?

Ap ne Irshad frmya:

Nimazi jb sajda-e-aval k lye khak pr peshani rakhta he to us bat ki taraf ishara he k miti se paida hua he,
aur jab sar ko sajde se uthata he to is bat ki taraf ishara he k zamin se aya he.

2sra sajda is bat ki alamat hy k dobara zamin me jaega
aur miti me badal jaega jb dobara sajde se sir uthata he to iska matlab ye he k dobara Qayamat k din zinda kiya jaega.....

 

‎"When capability increases ,desire decreases ."
Hazrat Ali (A.S)



------------------

Sab Se Bura Woo Shaks Hai Joo Logon Ki Galtiyaan Muaf Na Karay Aur Inkay Aeib Na Chupaye".Hazrat Ali R.A


------------------

Apne HAQ mai taakheer karna AIB(Buraai) nahi hai,Dusro kay HAQ par Qabza kar lena AIB(Buraai) hai".....
||HAZRAT ALI(A.S)||
{Nahj-ul-Balagha#166}


 
Back
Top