Raise your Voice for Justice for Zainab

Is andohnak waqiay nay pooray mulk ko hila k rakh diya hai. Bad qismati say hamaray muashray ko at a time kayi challenges ka samna hai: Ghurbat, Jahalat, Bay deeni, Ikhlaqi pasti, Bay rah rawi... phir aaj ka dour Mobile aur Internet ka dour hai. Yeh aik alag masla hai.. is nay bay hayai aur bay rah rawi ko bari taizi say phailaya hai.. yeh cheezein jab uneducated logon tak pohonchti hein tou in ka ghalat istemal hi hona hai aur nateeja hamaray samnay hai, koi aik criminal hi pooray mulk ko khoon k aansoo rula deta hai. In crimes ki bunyadi wajuhaat ka jaiza lena bohot zaroorai hai, in wajuhaat ko khatam karna hoga tabhi aisay crimes ki rok tham ho sakay gi.

Aaj say ham sab khud say wada karein k ham positive & healthy activities may pehlay say zyada contribute karein gay.
  • Koi bhi aisi activities jin say jahalat k khatmay may madad milay.
  • Deeni islahi bayanat ko zyada say zyada phaila'ein.
  • Tableegh e deen k kaamon may hissa lein. Tableeghi jamatein mulk k konay konay may jati hein is kaam may shamil ho kar muashray k uneducated logon ko deen ki taraf lanay k kaam may hissa lein.
  • Apnay bachon ki hifazat aur tarbiyat k muamlay ko parents pehlay say zyada serious lein. Aaj jo waqt chal raha hai ham kisi per bhi bharosa nahi kar saktay, relatives per bhi bharosa nahi kiya jaa sakta.
Allah SWT ham sab ka hami o nasir ho, aur Allah karay masoom Zainab ka khoon raigan na jaye aur yeh khawab e ghaflat may paray muashray ki bedari ka sabab ban jaye. ameen.
 

Back
Top