Nazm Saiyan zaat adhoori hay,

sara butt

sara butt

Well-Known Pakistani
I Love Reading
5
 
Messages
639
Reaction score
1,084
Points
176

Saiyan zaat adhoori hay, Saiyan baat adhoori hay. . . Saiyan raat adhoori hay, Saiyan maat adhoori hay. . . Dushman chaukanna hay laikan, Saiyan ghaat adhori hay . . .

Saiyan zaat adhoori hay,
Saiyan baat adhoori hay. . .
Saiyan raat adhoori hay,
Saiyan maat adhoori hay. . .
Dushman chaukanna hay laikan,
Saiyan ghaat adhori hay . . .

Saiyan ranj malal bohat,
Deewanay be haal bohat. . .
Qadam qadam per jaal bohat,
Pyar muhabbat kaal bohat. . .
Aur isi aalam mein saiyan,
Guzar gaye hain saal bohat . . .

Saiyan har soo dard bohat,
Mausam mausam sard bohat. . .
Rasta rasta gard bohat.,
Chehra chehra zard bohat. . .
Aur sitam dhanay ki khatar,
Taira ik ik fard bohat . . .

Saiyan tairay shehar bohat,
Gali gali mein zehar bohat. . .
Khof zada hay dehar bohat,
Us pe taira qehar bohat. . .
Kali raatein itni kyun,
Hum ko ik he pehar bohat . . .

Saiyan dil majboor bohat,
Roh bhi choor o choor bohat. . .
Paishani be noor bohat,
Aur lamhay maghroor bohat. . .
Aisay mushkil aalam mein,
Tu bhi hum se door bohat . . .

Saiyan mairay taaray gum,
Raat kay chand saharay gum . . .
Saiyan rishtay toot gaye,
Saiyan apnay chhoot gaye . . .
Apni zaat na zato mein,
Apna naam na namo mein . . .
 

@sara butt My all time favourite poem, really love it...
I have read it many times but it's always a pleasure
to read it again and again....
hearth touching & emotional poetry
by Farhat Abbas Shah...Thanx for sharing
 
Back
Top