Aijaz Raza Aijaz
New Member
0
- Messages
- 2
- Reaction score
- 9
- Points
- 53
Agar hai hosla tum main, suno ye raaz ki batain.
nahi jiska koi anjaam, Us aghaaz ki batain.
.
Nikal Kar Ashiyany se Kahin ab wo nhi jata.
kia karta tha jo khud se, kabhi parwaaz ki batain.
.
Zamana is tarhan badla kay logon ne bhula dalyn.
jo har dil main utar jati thi, Us awaaz ki batain.
.
Mohabbat main wafadari, wafaon main fidakari.
Purany dour main hoti thin, ye ayzaz ki batain.
.
Samajh Ghalib nhi aya tha jis tarhan se logon ko.
samajh ayn na dunya ko, kabhi AIJAZ ki batain.