Ghazal Samajh ayn na dunya ko, kabhi AIJAZ ki batain

Aijaz Raza Aijaz

Aijaz Raza Aijaz

New Member
0
 
Messages
2
Reaction score
9
Points
53
Agar hai hosla tum main, suno ye raaz ki batain.
nahi jiska koi anjaam, Us aghaaz ki batain.
.
Nikal Kar Ashiyany se Kahin ab wo nhi jata.
kia karta tha jo khud se, kabhi parwaaz ki batain.
.
Zamana is tarhan badla kay logon ne bhula dalyn.
jo har dil main utar jati thi, Us awaaz ki batain.
.
Mohabbat main wafadari, wafaon main fidakari.
Purany dour main hoti thin, ye ayzaz ki batain.
.
Samajh Ghalib nhi aya tha jis tarhan se logon ko.
samajh ayn na dunya ko, kabhi AIJAZ ki batain.
 

@Aijaz Raza Aijaz ...Bhttttttt khoob.. Saalim Behar main likhi gayi bht umdaa ghazal...Alfaz ka chunao khoobsurat...bhtt rwaan ghazal hai :)
Apney zra Maqta'a k misra'a e saani ki taqte'e pey nazar saani ijiye :) blue colour k word ki wjha sey aap ka misra'a wazn sey khaarij ho raha hai..:) zra us ki nok alak sanwaariye...Ai dfaa phir hmari traf sey daad qubool krain...
گر ہے حوصلہ تم میں ، سنو یہ راز کی باتیں .
نہیں جسکا کوئی انجام ، اس آغاز کی باتیں .
.
نکل کر آشیانے سے کہیں اب وہ نہیں جاتا .
کیا کرتا تھا جو خود سے ، کبھی پرواز کی باتیں .
.
زمانہ اِس طرح بدلہ کے لوگوں نے بھلا ڈالیں
جو ہر دِل میں اُتَر جاتی تھی ، اس آواز کی باتیں .
.
محبت میں وفا داری ، وفاؤں میں فداکاری .
پرانے دور میں ہوتی تھیں ، یہ اعزاز کی باتیں .
.
سمجھ غالب نہیں آیا تھا جس طرح سے لوگوں کو .
سمجھ آئی نہ دنیا کو ، کبھی اعجاز کی باتیں .
 
Back
Top