Love Poetry Shaam Key Baad

shaam honay say pahlay loat aana,
kissi kay naam honay say pahlay loat aana .

ham teray intazar mein hein
anjan honay say pahlay loat aana .

subah shaam roti hai teray dedaar ki umeed ,
Din khatam honay say pahlay loat aana .

Agar na loat pao to bass itna kar deina ,
Meri akhri saans khatam honay say pahlay
loat aana .
 
Yun to her rang ka mausam,
Mera waqif hai magar,
.......
Shaam-e-Afsurda Mujhay...
Kuch alag he jaanti hai
 

Baatain Tere ILHAAM Hain Jadoo Teri Awaaz
Rug Rug Main Utarti Hoyi Khushbo Teri Awaaz

Behtay Chalay Jatay Hain Tah-e-Aab Sitaray
Jaisay Kahain Utri Ho Lab-e-Joo Teri Awaaz

Main Shaam-e-Gharibaan Ki udaasi Ka Musafir
SehraaoN Main Jaisay Koi Jugnoo Teri Awaaz

Lafzoon Main Chupaaye Howay Bay-Rabt Dilaasay
Chunti Rahi Shab Bhar Meray Aansoo Teri Awaaz

Yeh Hijr Ki Shab Bheeg Chali Hai K Meray Baad
Rooti Hai Kaheen Khool K Geysoo Teri Awaaz

MOHSIN K Khayaloon Main Utarti Hai Sar-e-Shaam
Rim Jhim Ki Tarah Bandh K Ghunghroo Teri Awaaz
 
Yuun tow har shaam ummiidon pe guzar jaatii thii
Aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa "DOST"
 
Aik Andekhey Dukh ka Moasam Aankhoo'n ki jaageer
Anjaaney gham ke do Saaye Sard hawa aur RAAT
Baithey hain phir Agley mor pe Dukh ki aag liye
Meri raah mein nain Bichaaye Sard Hawa aur RAAT
 
Shab-e-Ghum Mein Tanhae Ki Mehfil Sajate Rahay
Raat Bhar Taaray Bhi Humay Aap Biti Sunatay Rahay

Kuch Meri Jaise Kahani Thee Chaand Ki Bhi
Aur Chandni Ki Loh Mein Hum Dil Jalate Rahay

Tham See Gaye Thee Fizaien Bhee Humay Dekh Kar
Nagma Ghum Ka Sehar Tak Hum Gungunate Rahay

Bahut Sonna Sonna Tha Dar-o-Diwaar Ghar Ka
Yoonh to Jugnu Bhi Aas Paas Timm-Timate Rahay

Khamoshi Bhi Cheek Pari The Raat Ke Sanatay Mein
Jaane Kis Ko Hum Apna Kissa Sunatay Rahay

Kaun Tha Pehlu Mein Meray Aakhir-e-Shab Tak
Kis Kay Aansoo Meray Daman Pe Aatay Rahay!
 
Aaj Ki Shaam


Gehray Saaye Kay Saath


Phir Teri Yaadon Ka Basera Kiye Howay Hay


Zindagi Aisay Lagnay Lagi Hay Mujhay


Sokhay Darkhat Zakhmon Main


Apni Bahaar Kho Detay Hain


Koii Geet Jesay


Bagair Sur Kay Ho


Ya Shayed Koii Aisi Tasveer


Jis Kay Rang Maand Par Gaye Ho


Main Ghar Kay Aangan Main Dhoondta Hoon


Apnay Betay Ka Khailna, Rona, Hansna Or Roothna


Phir Ye Waqt Intazar Main Gum Hay


Har Shaam Teri Yaad Main Gum Hay


Ye Raat Bhi Teray Khayal Main Gum Hay
 
kahin ujri ujri si manzilain, kahin tootay phootay say baam-o-dar
yeh wohi dayaar hai dosto jahan log phirtay thay raat bhar :rose:
 
Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon

ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon

har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon

duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon

pahale pahal ka ishq abhi yad hai 'Faraz'
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon
 
Phir Raat ka Phichhla Pehar Hua
Zanjeer pari Darwaze Par
.................
Kiun Raat Gae Gar Aae Ho
Sajni Se Karo ge Bahana Kia
 
Back
Top