Love Poetry Shaam Key Baad

Barson k intezaar ka anjam likh dia
kaghaz pe shaam kaat k phir shaam likh dia

bikhri pareen thi toot k kalliaan zameen par
tarteeb de k maine tera naam likh dia
 
Sakoot e Shaam Mein Goonji Sada Udaasi Ki
Ka Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor e Dil Mein Kissi Teesrey Ka Dakhal Nahin
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Aik Faqeer Ne Dey Di Dua Udaasi Ki
Chiragh e Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Keh Aaj Raat Chaley Gii Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulaqaat Hii Nahin Mohsin
Kahin Se Khair Khabar Ley Kar Aa Udaasi Ki
Its My Favourite Ghazal:flower:
 

Labon Pe Phool Khiltay Hain, Kissi Ke Naam Se Pehley
Dilon Ke Deep Jaltay Hain, Chirag-e-Shaam Se Pehley

Kabhi Manzer Badelney Per Bhi Qissa Chal Nahi Pataa
Kahani Khatum Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pehley

Yahi Taarey Tumhaari Aankh Ki Chilmun Mein Rehtey They
Yahein Sooruj Nikulta Tha Tumharey Baam Se Pehley

Dilon Ki Jug-Mgati Bastiyan Taraaj Kertey Hain
Yahi Jo Log Lagtey Hain Nihayut Aam Se Pehley

Ye Saarey Rung Murda They Tumhari Shakul Ban-Ney Tuk
Ye Saarey Harf Mohmil They Tumharay Naam Se Pehley

Hova Hai Voh Agar Munsif Tu Amjad Ehtiyatun Hum
Saza Tusleem Kertey Hain Kissi Ilzaam Se Pehley:flower:
 

Teri Wafa Ka Bharam hAi Par Jee tO Chahta hAi
K Raaz e hUsn Sar e Bazm Aashkaar Kahien

Dil e Udaas kO thOrii Sii Aas Mil jAye
tO Shaam e HijR Ko hUm Shaam e InteZaar Kahien

Teri Nazar Nay ChUpaya hAi Ehl e dUnya Say
Wagarna lOg Meray Dil kO Daagh-Daar Kahien
 
Sakoot e Shaam Mein Goonji Sada Udaasi Ki
Ka Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor e Dil Mein Kissi Teesrey Ka Dakhal Nahin
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Aik Faqeer Ne Dey Di Dua Udaasi Ki
Chiragh e Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Keh Aaj Raat Chaley Gii Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulaqaat Hii Nahin Mohsin
Kahin Se Khair Khabar Ley Kar Aa Udaasi Ki
Its My Favourite Ghazal:flower:
wow................!!!
 
Labon Pe Phool Khiltay Hain, Kissi Ke Naam Se Pehley
Dilon Ke Deep Jaltay Hain, Chirag-e-Shaam Se Pehley
Kabhi Manzer Badelney Per Bhi Qissa Chal Nahi Pataa
Kahani Khatum Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pehley
Yahi Taarey Tumhaari Aankh Ki Chilmun Mein Rehtey They
Yahein Sooruj Nikulta Tha Tumharey Baam Se Pehley
Dilon Ki Jug-Mgati Bastiyan Taraaj Kertey Hain
Yahi Jo Log Lagtey Hain Nihayut Aam Se Pehley
Ye Saarey Rung Murda They Tumhari Shakul Ban-Ney Tuk
Ye Saarey Harf Mohmil They Tumharay Naam Se Pehley
Hova Hai Voh Agar Munsif Tu Amjad Ehtiyatun Hum
Saza Tusleem Kertey Hain Kissi Ilzaam Se Pehley:flower:

khani khatum hoti hai kabhi anjam se phaly.....!!!
w0w....!!
 
Back
Top