Shaheen Of Allama IQBAL

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Allama Iqbal Poetry
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo
 

Allama Iqbal Poetry

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun
Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun
Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
me isi poem ka aik SHER add krna chah hon gi and its my favort poem all time:happy:

Bhri bzm me raaz ki baat keh di
Bra be adb hon saza chahta hon
 
nice job done bro and siss
mere tarf se b aik choti si sharing
5Allama-Iqbal-Poetry1.JPG
 
Back
Top