Some questions about prayer

rubPzai

rubPzai

Popular Pakistani
11
 
Messages
5,364
Reaction score
2,560
Points
706
01-Namaz main bismilah or aouzbillah kahan kahan parhte hain?
Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam jab namaz k liye khade hote dua e isteftah k baad shaitan mardood se Allah tala ki panah talab farmate yane ( Auzu billahi mina shaitaanirrajeem ) (Abu Dawood)

Issi tarah har sure se pehle Bismillahirrahmaanirraheem kehna chahiye jo k Quran me maujood hai har surat se pehle

namaz k shuru me auzubillah padhenge phir bismillah keh kar sure fateha padhenge aur har surat se pehle bismillah padhenge

02-agar Surat fatiha k baad koi surat parhna bhool jae or raku mein chale jaen k baad yad ae to? Dobara khara ho jana chaiay, namaz tor k again ya carry on?

Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam jisne sure fateha nahi padhi uski namaz nahi
( لَا صَلَاةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِفَاتِحَةِ الْكِتَابِ ) sahi Bukhari

sure fateha namaz ka rukn hai agar koi sure fateha na padhe to phir uski namaz hi nahi huyi haal agar wo sure fateha padhle lekin koi dusri surat padhna bhul jaye aur ruku me chala jaye to wo apni namaz jaari rakhega aur mukammal karega aur akhir me sajda sahu karega

03-witter mein teesri rakat mein duae qunoot ki jagah bhool k surah ikhlas parh len, then baad mein yaad ae.

witter ki namaz jo sahi ahadees se sabit hai wo 1, 3, 5, 7, 9, 11 is tarah se taakh ki adad me padhi chahiye aur Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam se sabit hai lekin Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam zyadatar 3 padha karte the agar koi dua e qunut padhna bhul jaye to uski namaz me koi khami nahi hogi aur har witter me ye dua padhna zaroori nahi aur dua e qunut dusri namazo me bhi padhi jaa sakti hai jaise k hadees me hai k Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam fajar ki namaz me bhi dua padha karte the

aur dua e qunut jo ahadees se sabit hai wo ye hai

(Allahumma ihdini fiman hadait, wa ‘aafini fiman ‘aafait, wa tawallani fiman tawllait, wa barik li fima ‘atait, wa qini wasrif ‘anni sharra ma qa_dait, fa-innaka taqdi wa-la yuq_da ‘alaik, innahu la yadhillu man waalait wa-la ya’izzu ma ‘adait, tabarakta rabbana wa-t’alait).

04-kahan kahan sajda sahav lazam ho jata hai, matlb kin kin situations mein. Or sajda sahu ka sahi tariqa kea hai.Namaz k fraiz or wajbaat kia hain?

jahan bhi apse galti hojaye apko sajda sahu karna lazim hai agar namaz k dauran hi yaad ajaye to salam pherne se pehle apko sajda sahu karna hai agar salam karna k baad yaad aaye ya koi yaad dilaye to phir sath hi aap sajda sahu karenge

sajda sahu ka tareeqa Allah u Akbar kahen aur sajde me jayen aur dua karen jo aap ko yaad ho Allah se maafi mange ya phir subhana rabbial aala padhen

Namaz k faraiz aur wajeebat se aapne kya muraad liye hai pata nahi

namaz k bare me Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne farmaya
SALLU KAMA RAITUMUNI SALLI namaz aise padho jaise mujhe padhte huye dekhte ho
is tarah Allah k Rasul sallellahu alayhi wasallam ne jaise padha hai wo sab hamare upar wajib hai

1. takbeer e tahreema
2. sure fateha
3. rukoo
4. sujood
5. sine par hath bandhna
6. salam pher k namaz khatam karna


05-agar shower k neeche naha rahe ho to gusal ka sahi tariqa kea hai?

aap shower k neeche ho ya kahin bhi susal ka tareeqa waise hi rahega

06-agar namaz mein rakaten bhool jaen k 4 ho gai puri ya 3 hui hen, pta na chale to kea karna chaiay? Namaz tor k again ya carry on ya aik zaid parhni chaiay?


agar namaz me rakaten bhul jayen to jo galib khayal hai us par amal karen
4 rakat wali namaz me aap ko 2 rakat k baad shak aajaye k kitni padhi hain 2 ya 3 to behtar hai 2 ka hisab lagayen aur mukammal karen aur sajda sahu karen wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

Back
Top