Ghazal Suna Raha Hun...!

  • Thread starter Abdullah Bin Nazir
  • Start date
Abdullah Bin Nazir

Abdullah Bin Nazir

Popular Pakistani
7
 
Messages
1,648
Reaction score
3,808
Points
336
Ay Mehbooba apne dil ki pukar suna raha hun
Magar apne wajood ka waqar suna raha hun

Tera deedar kiye hue to guzra hai kuch arsa
Magar us se pehle ka pyaar suna raha hun
Teri Ahte'n, teri hasrate'n to mehsoos kin
Magar un chahato'n ka dil pe Ikhtiyar suna raha hun

Arz kiya tha tu ne hamare pyar ka
Magar ye Sach hai k tme Sach bar bar suna raha hun
Pyaar to me behisaab krta hun tum se
Magar tujhe apne dil ka Iqraar suna raha hun
Teri baaho'n me rehne ko to dil mera krta hai
Magar apne badan ka intizar suna raha hun
Teri yaado'n me khoy rehne ko to jee krta hai
Magar is beqadar dil ka bemayar suna raha hun

Nazeer bhi hai tanha talash-e-yar mein
Magar apne mehboob ka intizar suna raha hun



Abdullah Nazeer...!
 

Back
Top