yes a healthy reminder !!
but kuch cases aisai hotai hain jin mai hum apnai maa baap especially baap ka pyar samjh
nahi paatai ..un k aggressive nature ya busy routine ki waja se hamarai zehen mai ek khayali dewaar sa ban jaata hai jis k us paar hum baap k pyar
nahi dhaik paatai ..badnaseebi ki waja se kuch baap (nashai ki lat lagi ho jisai ,religious na ho ,zubaan sahi na istemal karnai wala ho ,apki maa se sahi tareeqai se paish na aanai wala ho ya kuch aur is tarah ka ) hotai aisai hain jo bacho ko wo pyar
nahi dai paatai jo un ka huq hai ya wo respect
nahi daitai ya zarooryat e zindage na poora karai ....aksar
young generation yahi gela karti hai ..
but in sub ka matlab hargiz ye
nahi hai k hum un se pyar karna chor dai ..un ka hukam na maanai ya un ki repect karna chor dai .Quran
kareem mai ,ahadees mai ja ba jaa walidain ki farmanbardai k baarai mai lekha hai ..so
agar aap ka dil
nahi bhi karta k baap se pyar karai un ka khayal rakhai to
ALLAH k farman aur
MUhammad SAW ki sunnat ka paas rakhai ..
ALLAH is ka ajar bhi daigaa aur
ALLAH dilo ko badalnai wala bhi hai wo APKAI walid k dil mai apkai leyai pyar ka maada paida karsakta hai .apkai waalid ko badal sakta hai ..