Islamic Speech The Story Of A Father And A Crow - Illustrated By Nouman Ali Khan

A healthy reminder...

@Emma Dil @Wanderer @Hareem @Imal @Mastermind @Maria Jan @M Shah @Noor-e-Kainat @Sajjal @Twilight @doctorabidasajid @Amina chattha @breera @Zirwah @Kool Kat @kuku20 @Sara Raees @ruksana @Ali Akbar @Asad Rehman @Veer @Saad Sheikh @Mr.Hammad
 

m not seen anything @Hafsa ,, i think its a link of other site ,, anyways jo bhe ho ga acha he ho ga,, nice
 
yes a healthy reminder !!

but kuch cases aisai hotai hain jin mai hum apnai maa baap especially baap ka pyar samjh nahi paatai ..un k aggressive nature ya busy routine ki waja se hamarai zehen mai ek khayali dewaar sa ban jaata hai jis k us paar hum baap k pyar nahi dhaik paatai ..badnaseebi ki waja se kuch baap (nashai ki lat lagi ho jisai ,religious na ho ,zubaan sahi na istemal karnai wala ho ,apki maa se sahi tareeqai se paish na aanai wala ho ya kuch aur is tarah ka ) hotai aisai hain jo bacho ko wo pyar nahi dai paatai jo un ka huq hai ya wo respect nahi daitai ya zarooryat e zindage na poora karai ....aksar young generation yahi gela karti hai ..
but in sub ka matlab hargiz ye nahi hai k hum un se pyar karna chor dai ..un ka hukam na maanai ya un ki repect karna chor dai .Quran kareem mai ,ahadees mai ja ba jaa walidain ki farmanbardai k baarai mai lekha hai ..so agar aap ka dil nahi bhi karta k baap se pyar karai un ka khayal rakhai to ALLAH k farman aur MUhammad SAW ki sunnat ka paas rakhai ..ALLAH is ka ajar bhi daigaa aur ALLAH dilo ko badalnai wala bhi hai wo APKAI walid k dil mai apkai leyai pyar ka maada paida karsakta hai .apkai waalid ko badal sakta hai ..
 
Back
Top