Adabi Mazameen Thezeeb ki Taraqi ya Tanazuli

SK*

SK*

Well-Known Pakistani
I Love Reading
5
 
Messages
663
Reaction score
780
Points
176
KUL (Yesterday).

Abhi chohlley per dosri hi roti dali thi k derwaza kharka

Ai noj kon bhari doperher sir sutkaye hai

Iss baar ki dastak ziyada zoor darr thi

Amina Dopata lappet tey howey derwazey per phonchi to khala Rasheeda ka chota larka Anwar cherey per wehsahat ankhou mae ansou liye mojod paya .

Amina: Pareshan hoker behen sadqey kia howa kahey ko ye halat teri?

Anwar: Baji Mamo Nisar ka inteqal hogaya.

Amina: Seney per hath rukhtey howey Ina lillah…….. kub howa? kaisey howa? Hi meri mumani.

Tou chal to zara mae abhi ai.

Sub kuch youni chorr fuqt chohlla bund kia sir per orhni lapeti paon mae chapel dali paross ka derwaza dhardhara diya

Parosan: A Behen Kher to hai yu sir jhar moun pahar kahan ko chali ?.

Amina: Ankhou mae ansou gala rundha howa…. “Behen merey mamou ka inteqal hogaya hai wahi jarahi houn merey bachey school sey aengey un ko zara dekh lena khana nahi bana saki houn

Parosan: baat kat ker Na Na pareshan nah ho yeh bhi unka hi gher hai parosi ma jaya hota hai behen to fiker na ker mae khila dongi jaisey merey bachey wesey terey bachey to befiker ho ker ja soyam may mae bhi jaoungi terey sath.

Amina: Acha behen ek kam or zara apney larkey ko merey mia k dafter dora dena khena k mae yahi sey jarahi hon who wahan sey foren phonchey or ajj hazri ka khana humari taraf sey hoga uss ka intezam kertey howey ayen.

Parosan: Theek hai behen abhi Dorati hon.

Amina: jaker mumani k galey lug ker roti hai or tasali k or tashafi k bolo ka merham rukhti hai.

Amina : na ro mumani ek din sub ney jana hai Kulo nafsul zaiqatul mout kud bhi roti jati hai or dilasa bhi deti jati

Zakkia (Amina ki khala zad behen) mamo k bacho ko seney sey chomtaye beythei hai or zakia k apney bachey kis k pass hai uss ko khud nahi kahber.

Amina. Zakiya tum jao apney bachey ko dekho wo bhook sey roraha hai in bacho ko mae sumbhalti houn or bacho ko seney sey chimta ker ro perti hai.

Zakia: acha phley mae mumani ko dekh loun pani tak halaq sey nahi utra jub sey roye hi jarahin hai.

Gher bhara howa hai her ankh ashk baar hai apney kia gher kia paraye sub pusmandigan ko dilasey tasaliya deney mae paish paish hain koi niwaley bana ker israr ker raha hai k kheel hi sahi urr ker moun tuk to jaye to koi pani ka glass liye khara hai ghum sey behal logo k hulq ter kerwanaye ya chotey bachey ma’oun ki goud mae or zara barey bachey kono mae shemey apney baro ko dekh rahey hain. Or na sumjhtey howey bhi sumjh rahey hai k apno ka dukh kis terhan banta jata hai.

Her sukhs merney waley ki tareefien bayan ker raha hai jo log us ki zindagi mae nala/naraz thy wo bhi sub giley shikwey bhula ker ghum mae baraber k shareek hain

Mohley daar her kam mae paish paish hai kabhi kisi k gher sey rotey howey bachey k liye doodh araha hai to kabhi chahiye to kabhi roti to kisi k gher sey thandnda pani koi bhi huq-e-humsaygi nibhaney sey mehroom nahi rehna chata .

Ghr k bahir sarak per qanatien lagi hoi hain dari or buraq safeed chandni k gird apney, parey, qareebi , ajnabi sub loog bethey quran perh rahey hain marhoom k liye duaey mughfirat ker rahey hain or gahey baghaye merhoom ki tarrefein bayan ker rahey hain.

(Merney wala ek amm sa admi tha khobio or khamio ka majmoa, khataon ka putla, neeki or badi ka imtizaj.)

Lekin ajj loog uss ki khobio ko hi bayan ker rhey hain or khamio/ghaltio/ khataon ka perda rukh rahey hain ku k un ka iman hai k Jo apney Musalaman bhai ka perda rukhta hai Allah uss ka perda rukhta hai uss k ayoub dhank deta hai.

Ajj sirf yehi batien kano mae per rahi hain

Mashallah bohat Nafees insane they

janatai hain sahib kabhi kisi ka burra nahi kia

her kisi sey khushikhlaqi sey miltey they.

Allah k naik bandey th-ey.

Mashallah Olad bhi salhey or naik chori sadqa-e-jaria hai waldain k liye.

Janaza uthney sey Nanmz-e-janaza or tadfeen tak apney to apney paraye or rah chaltey anjan logo, mohaley k dukandaro, tak ney apney musalman bhai k safr-e-akhirat mae bisat bher sath diya

Amina or dosrey tamam qareebi rishtedar soyam tak wahi rahey jo nahi reh saktey they wo apny zarori kam nimta ker wahi ajatey they or hatul imkan ghum-gusari kertey.

Ajj. (Today)

Amina balou mae brush ker rahi thi or sath sath Tv per fashion show bhi dekhti jarhi hai ku k ajj uss ko shoping l kiye jana hai so update rehna zarori hai

Phone ki ghanti bajti hai

Amina kuch nagawari sey mulazima ko awaz deti hai “kulsoum dekh to sahi kon hai iss waqt”

Kulsoum: bibi app k liye phone hai

Amina: Ari poch to kon hai

Kulsoum: Bibi koi Anwar sab hai

Oh acha bura sa moun banatey howey

Amina: lehjey mae sherni gholtey howey ….Hello Anwar kaisey ho khala kaisi hain bohat din sey ai bhi nahi

Anwar : sapat lehjey mae baji, wo mamo Nisar they na wo nikal liye I mean unki death hogai hai.

Amina: Oh God , so Sad ok mayat kub uthayengay?

Anwar: Aser ki namaz mae uthayengay shayed. Baqi batien ammi sey poch lena mera final match hai ajj. ok bye

Amina: chalo theek hai. Ok bye n thnx for information

Amina phir number dail kerti hai kuch dair intezar k baad

Amina: hello han mae bol rahi hon suniey wo merey mamo ki death hogai hai

Abarar: oh konsey mamo ?

Amina: mamo Nisar wo jo meri khobsorat si cousin hai na shahida uss k aboo

Abarar: Oh Oh acha.. phir tum jarahi ho kia ?

Amina: Han mae jaongi lekin bachey school sey ajayen phir app nahi jayngay ?

Abrar: hmm bohat buzy houn ajj janazey mae shareek to nahi hosakta raat mae chakar lagalounga

Amina: ok theek hai acha bye

Abrar bye.

Bachey: gher mae dakhil hotey hain

Bachey: Ammi App kahin jarahi hain ?

Amina: han beta mumma k uncle ki death hogai hai mumma ko waha jana hai app log khana khlena kuslom ko tung nahi kerna Tv per koi movie dekh lena ok.

Bachey: Ok mom bye.

Amina: parosan k gher ki bell bajati hai .

Parosan: O ho hum ko to sham ko jana tha tum abhi sey tayar hoker agai ho?

Amina: bura sa moun banatey howey nahi yar wohi bataney ai thi hum ajj nahi ja sakiengay merey uncle ki death hogai mujh ko waha jana hai hum kul Chalyengay shopping per.

Paroson: Oh so Sad chalo theek hai kul sahi wesey kub tuk ajaogi

Amina: ek do ghantey to lug hi jayengay u know duniya dari bhi to nibhani hai ek ankh daba ker.

Parosn: hunstey howe han ye to hai.

Amina: Acha mae theek lug rahi hon na kuch over to nahi lug raha, asel mae pora khandan hi jama hoga na waha or sub ek sey berh ker ek hain. U know what I mean

Paroson: new dress n maching stuff ka jaiza letey howe…. nahi its ok ajkul sub chalta hai.

Amina: acha phir theek hai .ok bye sorry once again han.

Paroson: koi baat nahi kul sahi bye.

Mayutt Ka Gher.

Amina gher mae dakhil honey sey phley cherey per duniya jahan ka ghum sameet lati hai phir sub sey alek salek kerti hoi Mami k pass jati hai.

Amina: Glogeer lehjey mae Oh Mami merey piyarey mamo ko kia howa kaisey howa, bohat afsoos howa mae to shocked reh gai bachey school gaye howey they nokrani per pora gher chore ker aisey hi bhagi chali ai bacho ka bhi wait nahi kia …….bla bla bla

Howa kia tha abhi ek sal pheley hi to mulaqat hoi thi Danish ki shadi per jub to bilkul theek thak they achanak kia hogaya merey achey mamo ko. Bho bho roney lugti hai

Mami: Kundhey sey alug kertey howey ku k un k kaprey bhi musley jarahey they or abhi kitney hi logo ko ana tha “buss beta Allah ki merzi wo apney naik bando ko juld apney pass bulaleta hai”

Amina waha sey hut ker apni bari khala zad behen k pass jaker beth jati hai jo apni goud k bacha ko biscuit khila rhi hai.

Amina: Tum kub ain?

Zakkia: Abhi ai hon thori dair k liye “UN” k dosto ki ajj dawat hai gher per Ye to kherahey they cancel kerdeta houn maney kaha nahi mae abhi ajaongi shakal dikha ker ajaongi kuch bazaar sey manga lengey kuch mae arrangement ker longi sub hojayega app cancel na karein.

Tum sunao Abrar Aye hain kia?

Amina: nahi un ki bohat zarori meeting thi foreign sey koi delegation aya howa hai or in ko attended kerna hai wo to khe rahey they aney ko many hi kaha k nahi app kam dekhien mae chali jati houn lekin raat ko ayengey shayed .

Zakkia: Mumani k mekay ka koi nazar nahi araha.

Amina: Aram sey hi atey hain who loog to her jaga pata nahi hai kia tum ko.

Zakkia: Bura sa moun bana ker han ye to hai or atey hi ho ha mucha dengay

Issi terha porehy gher mae 02 02 ya 03 03 ortoun ki joriya bani hoi thi or halki halki srigoshio mae issi terha ki batien horahi theen.

Bahir merdaney mae. Sarak per qanatien lagi hoi thin ziyada ter hisey mae kursiya or ek chotey sey hisey mae dari chandni bichi hoi thi jis per mohaley k mudarsey k qari sahib apney kuch shagirdio k sath bethey siparey perh rahey they, molvi sahib ko bhi kuch mali manfiyat khench lai thi werna to ye un k madarsey ka time tha.

Kursion per loog umer ki munasibat sey tolio ki shakal mae bethey they. Dabi dabi awaz mae mukhtalif topics per baat horahi thi kuch ka topic siyast, kuch ka haliya world cup ka match or kuch k mojoda halat or mehngai.

kuch qareebi rihstedaro ki toli jo arsey baad ek dosrey sey miley they apni apni baraiya or masrofiyat k gunn ga rahey they ager kisi ney merhoom k barey mae bat ki bhi to yu…

Nawaz sahab: .. Maroom bohat achey they lekin sahb Olad ka ghum kha gaya

Bari beti to suna hai gher beth gai hai

Qudussi sahab:….. Or beta bhi pasand ki shadi ker k bewi k sath America mae hi shift hogaya hai

Faraz sahab:….. Chotey k to shoro sey hi luchun achey nahi hai

Niyazi sahab … Buss bhai oper ki kamai gher to bher deti hai per old naferman hojati hai

Jamil sahib … Arey qudusi sahib suna hai app k betey ney bhi to pasand ki shadi ker li hai….. jamil sahib ney choutt ki

Merney waley ki burai ek dosrey ki burai jo nahi un ki ghebat . khob mehfil-e-yara hai.

KUL (Tomorrow )

Amina couch per leti magazine perh rahi hai sath hi uss ka cell phone rukha hai

Beep Beep

You have received a new SMS

“uncle Nisar has died L

from Anwar

Amina typing a Reply:

“thnx 4 info

Amina Typing a new message

“Dear Mami

L 2 hear abt uncle Nisar

God bestow His mercy on him and may his soul rest in peace

Our heartiest condolence 4 ya n fmly

L

Amina n family.”

*** Tayn tayn fish ***

Hai dil k liye mout machino ki hokumat

Ahsas-e-murawat ko kuchal detey hain Aalaat

**************************************

Gercha shoukh nahi hai mera andaz-e-bayan

Shayed k terey dil mae utar jaye meri baat

Love

بہت عمدہ
ہے دل کے لیے موت مشینوں کی حکومت
احساسِ مروّت کو کچل دیتے ہیں آلات
اس سے بڑھ کر تنزلی کیا ہوگی؟ آپ نے ادوار کی تقسیم میں ساری حقیقت بیان کر دی ہے۔۔۔۔
شکریہ
 
Pasandedgi k liye shukriya
bus aik choti si kawish ki hai :)
 
@SK*,
برادر آپ کی محنت کی داد دے سکتا ہوں مکمل کہانی رومن اردو میں پڑھنا مشکل ہے ،
مائنڈ نا کرنا
thank u Dear
i know... lekin merey pass sey urdu typing ka software delete hogaya hai app hi koi acha sa suggest karo
to ab kuch likhon to urdu mae likhon :)
 
Back
Top