Tumhare Sard Lehje Ne Humain Chonka Diya Warna___!!

Aankhon Kaa Rang, Baat Kaa Lahja Badal Gaya.

Wo Shakhs Ek Shaam Men Kitna Badal Gaya.

Kuch Din To Mera Aks Raha Aaine Pe Naqsh.

Phir Yun Hu'aa K Khud Mera Chehra Badal Gaya.

Jab Apne Apne Haal Pe Ham Tum Na Rah Sake.

To Kyaa Hu'aa Jo Hamse Zamaana Badal Gaya.

Qadmon Tale Jo Reat Bichi Thi Vo Chal Pari.

Us Ne Churaya Haath To Sehraa Badal Gaya.

Koi Bhi Chiz Apni Jagah Par Nahin Rahi..

Jaate Hi Ek Shakhs K Kyaa Kyaa Badal Gaya.

Ek Sar-Khushi Ki Mauj Ne Kaisa Kiya Kamaal.

Wo Be-Niyaaz, Saare Ka Sara Badal Gaya.
 
Dil Mein Eik Jazba Tha Wo Bhe Na Rha Shaam K Baad
Phir Na Aaii kOii Honton Pey Dua Shaam K Baad
Shaam Sey Pehlay To ZarOun Ki Chuban Thi Lekin
Kitnay tAnhA Hain Meray Aabla Paa Shaam K Baad
Zakham Chehray Pey UjalOun Ney Sajaye Kitnay
AaSmanOun Sey Yeh PoCho To Zara Shaam K Baad
Shour Parwaaz Ka Hai Ab Tak Hawa Mein Is Ki
Jis Prinday Ko Koii Qafas Milla Shaam K Baad
Eik SOoraj Tha Jo Gum Ho Gaya Tareekii Mein
Eik JugnOo Tha Jo Chup Chaap Bujha Shaam K Baad
Rat Jagay Meray MuQadar Mein Likhay Hain Warna
So Hi Jati Sabhii Halq e KHUDA Shaam K Baad
Din K Dhaltay Hi Koii Sang Laga Ho JaiSay
KirchiyOun Ki Trah Uthi Thi Sada Shaam K Baad
Mein Ney AshkOun Ki Zubaan Mein Kha Ley "tAnhAii"
Apnay HathOun Pey Koii Mehandii Saja Shaam K Baad
Yaa To Eik Lafz e "mUhabbat" Mein Tha Qaidii Ki Trah
Yaa Jo Bikhra To Smaita Na Gaya Shaam K Baad
Meray Chehray Pey Thakan Likhi Hai Saray Din Kii
Eik Safar Or Bhe PairOun Sey Khula Shaam K Baad
KaiSi BaSti Hai Jhan Shaam Sey Pehlay Aaye
Ab Na RaSta Hai Na Manzil Ka Pata Shaam K Baad
Shaam Ko Zor Sabhii LehrOun Ka Dum Tour Gaya
Mein Ney Sahil Pey Tera Naam Likha Shaam K Baad
Kitnay LehjOun , Kaii RangOun Mein Badal Kar Dekha
Par Na AankhOun Ney Koi Akas Parha Shaam K Baad
Dil Ki Garmii Ney Jalaya Meray ZakhmOun Ko Magar
Eik Naya Zakham Klaijay Pey Khila Shaam K Baad
KaiSay Khush Rang Manazir Thay Sabhii Bujhnay Lagay
Kitni Be Rang Sii Lagtii Hai Fiza Shaam K Baad
Tugh Ko PehChaan Na Paya Yeh Muqadar Tha Mera
Warna Kitna Tughe MehSOos Keya Shaam K Baad
Meri AankhOun Mein Kabhe Parhna Hikayet Sarri
Mein Ney Har Lafz Ko AankhOun Mein Likha Shaam K Baad
Janay Kya Taiz Hawaon Ka Hai Dar Seenay Mein
Thar-Tharanay Laga Aangan Ka Diya Shaam K Baad
Meray LafzOun Ne Banaye Hain Ma'anii Apnay
Mein Ney Qartaas Pey Likha Tha "Waffa" Shaam K Baad
Thokarien Khatay Hain Girtay hAin Musafir Lekin
Janay Kia Dekhta Rehta Hai "KHUDA" Shaam K Baad
Is Qadar KhOya Tha Tugh Mein mUghe MalOom Nahien
Khaan "HaSham" Khaan Likha Tha "Raza" Shaam K Baad
 
Back
Top